ai sharif insano
Interesting Fact
(Written against the backdrop of the Indo-Pakistani war and aired on Tashkent's anniversary)
ḳhuun apnā ho yā parāyā ho
nasl-e-ādam kā ḳhuun hai āḳhir
jañg mashriq meñ ho ki maġhrib meñ
amn-e-ālam kā ḳhuun hai āḳhir
bam gharoñ par gireñ ki sarhad par
rūh-e-ta.amīr zaḳhm khātī hai
khet apne jaleñ ki auroñ ke
ziist fāqoñ se tilmilātī hai
tank aage baḌheñ ki pichhe haTeñ
kokh dhartī kī bāñjh hotī hai
fat.h kā jashn ho ki haar kā sog
zindagī mayyatoñ pe rotī hai
jañg to ḳhud hī ek mas.ala hai
jañg kyā mas.aloñ kā hal degī
aag aur ḳhuun aaj baḳhshegī
bhuuk aur ehtiyāj kal degī
is liye ai sharīf insāno
jañg Taltī rahe to behtar hai
aap aur ham sabhī ke āñgan meñ
sham.a jaltī rahe to behtar hai
2
bartarī ke subūt kī ḳhātir
ḳhuuñ bahānā hī kyā zarūrī hai
ghar kī tārīkiyāñ miTāne ko
ghar jalānā hī kyā zarūrī hai
jañg ke aur bhī to maidāñ haiñ
sirf maidān-e-kisht-o-ḳhūñ hī nahīñ
hāsil-e-zindagī ḳhirad bhī hai
hāsil-e-zindagī junūñ hī nahīñ
aao is tīra-baḳht duniyā meñ
fikr kī raushnī ko aam kareñ
amn ko jin se taqviyat pahuñche
aisī jañgoñ kā ehtimām kareñ
jañg vahshat se barbariyyat se
amn tahzīb o irtiqā ke liye
jañg marg-āfrīñ siyāsat se
amn insān kī baqā ke liye
jañg iflās aur ġhulāmī se
amn behtar nizām kī ḳhātir
jañg bhaTkī huī qayādat se
amn be-bas avaam kī ḳhātir
jañg sarmā.e ke tasallut se
amn jamhūr kī ḳhushī ke liye
jañg jañgoñ ke falsafe ke ḳhilāf
amn pur-amn zindagī ke liye
KHun apna ho ya paraya ho
nasl-e-adam ka KHun hai aaKHir
jang mashriq mein ho ki maghrib mein
amn-e-alam ka KHun hai aaKHir
bam gharon par giren ki sarhad par
ruh-e-tamir zaKHm khati hai
khet apne jalen ki auron ke
zist faqon se tilmilati hai
tank aage baDhen ki pichhe haTen
kokh dharti ki banjh hoti hai
fath ka jashn ho ki haar ka sog
zindagi mayyaton pe roti hai
jang to KHud hi ek masala hai
jang kya masalon ka hal degi
aag aur KHun aaj baKHshegi
bhuk aur ehtiyaj kal degi
is liye ai sharif insano
jang Talti rahe to behtar hai
aap aur hum sabhi ke aangan mein
shama jalti rahe to behtar hai
2
bartari ke subut ki KHatir
KHun bahana hi kya zaruri hai
ghar ki tarikiyan miTane ko
ghar jalana hi kya zaruri hai
jang ke aur bhi to maidan hain
sirf maidan-e-kisht-o-KHun hi nahin
hasil-e-zindagi KHirad bhi hai
hasil-e-zindagi junun hi nahin
aao is tira-baKHt duniya mein
fikr ki raushni ko aam karen
amn ko jin se taqwiyat pahunche
aisi jangon ka ehtimam karen
jang wahshat se barbariyyat se
amn tahzib o irtiqa ke liye
jang marg-afrin siyasat se
amn insan ki baqa ke liye
jang iflas aur ghulami se
amn behtar nizam ki KHatir
jang bhaTki hui qayaadat se
amn be-bas awam ki KHatir
jang sarmae ke tasallut se
amn jamhur ki KHushi ke liye
jang jangon ke falsafe ke KHilaf
amn pur-amn zindagi ke liye
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 210)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.