waqt tashaddud ki chaukDi bharta hua
hamāre bīchoñ-bīch se nikal jaatā hai
kabhī hamāre do TukḌe kartā huā
kabhī hameñ ghasīTtā huā
kisī aisī jagah pheñk kar chalā jaatā hai
jahāñ ham kabhī nahīñ ga.e
kabhī nahīñ ga.e
shāyad in ḳhvāboñ meñ
jo hamesha niiñd se chimTe hue haiñ
aur hamārī āñkhoñ ko khulne nahīñ dete
hameñ karvaT badalne kī mohlat bhī nahīñ miltī
hamare bichon-bich se nikal jata hai
kabhi hamare do TukDe karta hua
kabhi hamein ghasiTta hua
kisi aisi jagah phenk kar chala jata hai
jahan hum kabhi nahin gae
kabhi nahin gae
shayad in KHwabon mein
jo hamesha nind se chimTe hue hain
aur hamari aankhon ko khulne nahin dete
hamein karwaT badalne ki mohlat bhi nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.