watan se KHitab
mujhe ai vatan tū zarā batā kidhar ab haiñ vo tirī san’ateñ
jo har ek mulk se laa.ī thiiñ tire paas khīñch ke daulateñ
tujhe muflisī na pasand thī tirī rāh-e-sa’ī na band thī
tirī himmat aisī buland thī ki nisār us pe thiiñ himmateñ
tirī koshishoñ se lagī thī lau usī lau se phail rahī thī zau
hue sust mulk bhī garm-rau tirī dekh dekh ke mehnateñ
tirī san'atoñ meñ vo rang thā ki fidā har ahl-e-farang thā
jinheñ dekh baaġh bhī dang thā vo huī thiiñ un pe riyāzateñ
gayā jab badal vo tirā chalan na rahā vo 'ilm tirā na fan
ga.iiñ tujh se chhin vo ab ai vatan jo ḳhudā ne dī thiiñ liyāqateñ
huī muntashir vo tirī sabhā jo har ik hunar se thī āshnā
jo har ek 'ilm pe thī fidā huī ḳhatm jis pe fazīlateñ
na rahā vo 'ilm kā ab samāñ na vo san'atoñ kā rahā nishāñ
na rahī vo daulat-e-shā.egāñ huiiñ duur ab vo sa’ādateñ
agar ab bhī garm-e-‘ināñ ho tū rah-e-sarvarī pe ravāñ ho tū
to phir iftiḳhār-e-jahāñ ho tū tujhe phir mileñ vahī 'izzateñ
agar ab bhī terā baḌhe qadam tire sar pe 'ilm kā ho 'alam
vahī jaah phir ho vahī hasham vahī daulateñ vahī sarvateñ
agar ab bhī dauḌ ke chār-sū kare taaza san’ateñ apnī tū
to baḌhe vo phir tirī aabrū ki hoñ mahv saarī ye zillateñ
na.ī san'atoñ kī bhī le ḳhabar ki tire chaman meñ hoñ sab shajar
tirī uñgliyoñ meñ hoñ sab hunar tirī arġhanūñ meñ hoñ sab gateñ
yahī aarzū hai ab ai vatan ki shagufta phir ho tirā chaman
tirā baḳht phir ho ziyā-fagan tirī duur sab hoñ ye kulfateñ
mujhe ai watan tu zara bata kidhar ab hain wo teri san’aten
jo har ek mulk se lai thin tere pas khinch ke daulaten
tujhe muflisi na pasand thi teri rah-e-sa’i na band thi
teri himmat aisi buland thi ki nisar us pe thin himmaten
teri koshishon se lagi thi lau usi lau se phail rahi thi zau
hue sust mulk bhi garm-rau teri dekh dekh ke mehnaten
teri san'aton mein wo rang tha ki fida har ahl-e-farang tha
jinhen dekh bagh bhi dang tha wo hui thin un pe riyazaten
gaya jab badal wo tera chalan na raha wo 'ilm tera na fan
gain tujh se chhin wo ab ai watan jo KHuda ne di thin liyaqaten
hui muntashir wo teri sabha jo har ek hunar se thi aashna
jo har ek 'ilm pe thi fida hui KHatm jis pe fazilaten
na raha wo 'ilm ka ab saman na wo san'aton ka raha nishan
na rahi wo daulat-e-shaegan huin dur ab wo sa’adaten
agar ab bhi garm-e-‘inan ho tu rah-e-sarwari pe rawan ho tu
to phir iftiKHar-e-jahan ho tu tujhe phir milen wahi 'izzaten
agar ab bhi tera baDhe qadam tere sar pe 'ilm ka ho 'alam
wahi jah phir ho wahi hasham wahi daulaten wahi sarwaten
agar ab bhi dauD ke chaar-su kare taza san’aten apni tu
to baDhe wo phir teri aabru ki hon mahw sari ye zillaten
nai san'aton ki bhi le KHabar ki tere chaman mein hon sab shajar
teri ungliyon mein hon sab hunar teri arghanun mein hon sab gaten
yahi aarzu hai ab ai watan ki shagufta phir ho tera chaman
tera baKHt phir ho ziya-fagan teri dur sab hon ye kulfaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.