aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anwar Moazzam's Photo'

Anwar Moazzam

1929 - 2023 | Hyderabad, India

Anwar Moazzam

Sher-o-Shayari 12

vo habīb ho ki rahbar vo raqīb ho ki rahzan

jo dayār-e-dil se guzre use ham-kalām kar lo

wo habib ho ki rahbar wo raqib ho ki rahzan

jo dayar-e-dil se guzre use ham-kalam kar lo

hameñ bāda-kash-e-dard-e-tamannā

hamīñ par band hai mai-ḳhāna dil

hamein baada-kash-e-dard-e-tamanna

hamin par band hai mai-KHana dil ka

sab dikhāte haiñ tirā aks mirī āñkhoñ meñ

ham zamāne ko isī taur se mahbūb hue

sab dikhate hain tera aks meri aankhon mein

hum zamane ko isi taur se mahbub hue

aao dekheñ ahl-e-vafā hotī hai tauqīr kahāñ

kis mahfil naam hai maqtal khiñchtī hai shamshīr kahāñ

aao dekhen ahl-e-wafa ki hoti hai tauqir kahan

kis mahfil ka nam hai maqtal khinchti hai shamshir kahan

āñkhoñ meñ ghul na jaa.eñ kahīñ zulmatoñ ke rañg

jis samt raushnī hai udhar dekhte raho

aankhon mein ghul na jaen kahin zulmaton ke rang

jis samt raushni hai udhar dekhte raho

Ghazal 10

BOOKS 768

RELATED Poets

More Poets From "Hyderabad"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now