Sher of Miraash
gard ā.inoñ kī chāroñ taraf hai jamī huī
'ālam 'ajīb shīsha-garī kī dukān hai
gard aainon ki chaaron taraf hai jami hui
'alam 'ajib shisha-gari ki dukan hai
sang par sang ragaḌne se huā jo paidā
usī āhang ne raqs-e-sharar ījād kiyā
sang par sang ragaDne se hua jo paida
usi aahang ne raqs-e-sharar ijad kiya
isī kafan se na Dhak jaa.e saarā shahr kahīñ
mirā janāza parinde uThā.e phirte haiñ
isi kafan se na Dhak jae sara shahr kahin
mera janaza parinde uThae phirte hain
jo mere banñe se pahle ik intizār banā
us intizār ke andar maiñ baar baar banā
jo mere banne se pahle ek intizar bana
us intizar ke andar main bar bar bana
ham dil hī dil meñ us pe uThā lete kuchh savāl
lekin ġhuyūb meñ bhī vo hāzir-javāb hai
hum dil hi dil mein us pe uTha lete kuchh sawal
lekin ghuyub mein bhi wo hazir-jawab hai
ḳhutūt aag meñ jalte haiñ aur sīḳhoñ par
kisī kā dil to jigar hai kisī parinde kā
KHutut aag mein jalte hain aur siKHon par
kisi ka dil to jigar hai kisi parinde ka
talab zill-e-ilāhī kyā kareñ us yaar kā saaya
galī meñ jis kī DhūñDhe hai humā dīvār kā saaya
talab zill-e-ilahi kya karen us yar ka saya
gali mein jis ki DhunDhe hai huma diwar ka saya
dil kī zamīn par mirī 'ishq hai dasht-e-dā.imī
hijr-o-visāl sab ke sab mausamiyātī hādse
dil ki zamin par meri 'ishq hai dasht-e-daimi
hijr-o-visal sab ke sab mausamiyati hadse
sang par sang ragaḌne se huā jo paidā
usī āhang ne raqs-e-sharar ījād kiyā
sang par sang ragaDne se hua jo paida
usi aahang ne raqs-e-sharar ijad kiya
thī kal dayār-e-'ishq meñ 'īduzzuhā 'mirāsh'
ham kyā galā kaTāte 'ajab bheḌ-chāl thī
thi kal dayar-e-'ishq mein 'iduzzuha 'mirash'
hum kya gala kaTate 'ajab bheD-chaal thi
ghar palaT kar jo mirī raushan-ḳhayālī aa.ī hai
shor hai shahr-e-suḳhan meñ phir divālī aa.ī hai
ghar palaT kar jo meri raushan-KHayali aai hai
shor hai shahr-e-suKHan mein phir diwali aai hai
kabhī maiñ ban na sakā laakh koshishoñ ke baa'd
magar jo banñe lagā phir to bār-bār banā
kabhi main ban na saka lakh koshishon ke ba'd
magar jo banne laga phir to bar-bar bana
'ishq ik dam kar diyā us ne halāl
haath jis ġhusse se jhaTkā hai abhī
'ishq ek dam kar diya us ne halal
hath jis ghusse se jhaTka hai abhi
naqsh-o-nigār-e-husn-e-haqīqī bhī shai hai kyā
palkeñ tirī lagā leñ agar mū-qalam meñ ham
naqsh-o-nigar-e-husn-e-haqiqi bhi shai hai kya
palken teri laga len agar mu-qalam mein hum
khanak rahā huuñ maiñ nashshe meñ chābiyoñ kī tarah
khulī hai pyaas magar mai-kade pe taalā hai
khanak raha hun main nashshe mein chabiyon ki tarah
khuli hai pyas magar mai-kade pe tala hai
us badan par kahīñ to hogā zarūr
mere hoñToñ ke naap kā koī zaḳhm
us badan par kahin to hoga zarur
mere honTon ke nap ka koi zaKHm
kis gardish-e-paiham meñ mirā sho’la-e-dil hai
jaltā hai lahū roġhan-e-ḳhurshīd kī sūrat
kis gardish-e-paiham mein mera sho’la-e-dil hai
jalta hai lahu roghan-e-KHurshid ki surat