Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon aankhon mein guzari shab-e-hijran humne

Dilshad Naseem

aankhon aankhon mein guzari shab-e-hijran humne

Dilshad Naseem

MORE BYDilshad Naseem

    āñkhoñ āñkhoñ meñ guzārī shab-e-hijrāñ ham ne

    ashk rahne diye har shab pas-e-mizhgāñ ham ne

    zindagī tujh se ibārat hai so terī ḳhātir

    ziist rah meñ bichhā.īñ sadā kaliyāñ ham ne

    saañs lai pe dhaḌaktā hai tumheñ dekh ke dil

    dil ko dekhā hai ka.ī baar raqsāñ ham ne

    mundamil zaḳhm hue the na hamāre dil ke

    phir na.e ġham ko kiyā aaj mehmāñ ham ne

    ḳhvāb āñkhoñ meñ koī kaise utar kar aatā

    niiñd jabki liyā nahīñ ehsāñ ham ne

    raat ro.e the bahut koī bahāna na banā

    raat phir uThtā huā dekhā hai tūfāñ ham ne

    bin bulā.e chalī aa.ī shab-e-ġham dekho

    dekhā 'dilshād' ko phir aaj pareshāñ ham ne

    aankhon aankhon mein guzari shab-e-hijran hum ne

    ashk rahne diye har shab pas-e-mizhgan hum ne

    zindagi tujh se ibarat hai so teri KHatir

    zist ki rah mein bichhain sada kaliyan hum ne

    sans ki lai pe dhaDakta hai tumhein dekh ke dil

    dil ko dekha hai kai bar hi raqsan hum ne

    mundamil zaKHm hue the na hamare dil ke

    phir nae gham ko kiya aaj hi mehman hum ne

    KHwab aankhon mein koi kaise utar kar aata

    nind ka jabki liya hi nahin ehsan hum ne

    raat roe the bahut koi bahana na bana

    raat phir uThta hua dekha hai tufan hum ne

    bin bulae hi chali aai shab-e-gham dekho

    dekha 'dilshad' ko phir aaj pareshan hum ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now