aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dost tu ne war ye bharpur kar diya

Dua Ali

ai dost tu ne war ye bharpur kar diya

Dua Ali

MORE BYDua Ali

    ai dost ne vaar ye bharpūr kar diyā

    pahle qarīb kar ke mujhe duur kar diyā

    rahtī huuñ terī yaad meñ mad.hosh raat din

    tere surūr-o-kaif ne maḳhmūr kar diyā

    kishmish nāznīn thī shāḳh-e-badan mirī

    chāhat āb-o-tāb se añgūr kar diyā

    ḳhushbū tire badan hai sāñsoñ meñ aaj tak

    ne milan ke ba.ad to pur-nūr kar diyā

    tanhā.ī zindagī kaThin ho ga.ī thī yaar

    lams-o-surūr baḳhsh ke masrūr kar diyā

    mujh ko sharāb-e-ishq pilā ne der thī

    maiñ ne bhī kā.enāt ko maḳhmūr kar diyā

    malba tumhārī yaad Dhoyā hai raat din

    nāzuk ek laḌkī ko mazdūr kar diyā

    detī haiñ mujh ko ta.ane mirī sab saheliyāñ

    kahtī haiñ tujh ko ishq ne maġhrūr kar diyā

    ai dost tu ne war ye bharpur kar diya

    pahle qarib kar ke mujhe dur kar diya

    rahti hun teri yaad mein madhosh raat din

    tere surur-o-kaif ne maKHmur kar diya

    kishmish si naznin thi shaKH-e-badan meri

    chahat ki aab-o-tab se angur kar diya

    KHushbu tere badan ki hai sanson mein aaj tak

    tu ne milan ke baad to pur-nur kar diya

    tanhai zindagi ki kaThin ho gai thi yar

    lams-o-surur baKHsh ke masrur kar diya

    mujh ko sharab-e-ishq pila ne ki der thi

    main ne bhi kaenat ko maKHmur kar diya

    malba tumhaari yaad ka Dhoya hai raat din

    nazuk si ek laDki ko mazdur kar diya

    deti hain mujh ko tane meri sab saheliyan

    kahti hain tujh ko ishq ne maghrur kar diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now