aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aish-o-ishrat sab sahi ye dam nahin to kuchh nahin

Riyaz Khairabadi

aish-o-ishrat sab sahi ye dam nahin to kuchh nahin

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    aish-o-ishrat sab sahī ye dam nahīñ to kuchh nahīñ

    ek duniyā ho to kyā jab ham nahīñ to kuchh nahīñ

    surmagīñ āñkhoñ meñ ashk-e-ġham nahīñ to kuchh nahīñ

    dast-e-rañgīñ se mirā mātam nahīñ to kuchh nahīñ

    sub.h ko shab ke satāne gila-shikva abas

    jab pareshāñ gesū-e-barham nahīñ to kuchh nahīñ

    ishq se thoḌā bahut to hai har insāñ ko lagāo

    dil meñ kuchh kuchh dard kuchh kuchh ġham nahīñ to kuchh nahīñ

    is kamar par is nazākat par ye sīdhī chaal kyuuñ

    bal nahīñ to kuchh nahīñ kuchh ḳham nahīñ to kuchh nahīñ

    us shoḳhī ne use ai dil chhupā rakkhā kahāñ

    hashr meñ vo fitna-e-ālam nahīñ to kuchh nahīñ

    milne vāloñ baham mil baiThnā bhī lutf hai

    jamghaTe shab ko sar-e-zamzam nahīñ to kuchh nahīñ

    us raunaq aur hai us asar kuchh aur hai

    un mahfil meñ mirā mātam nahīñ to kuchh nahīñ

    pyāre pyāre achchhe achchhe muñh se haañ kah de kabhī

    tere sadqe ye tirī har-dam nahīñ to kuchh nahīñ

    baal khole tum ne to kyā chūḌiyāñ toḌīñ to kyā

    mere marne jo dil se ġham nahīñ to kuchh nahīñ

    baat jis thī ga.ī saaqī vo us ke dam ke saath

    jām-e-jam ho bhī to kyā jab ham nahīñ to kuchh nahīñ

    phuuT kar ronā nahīñ to phuuT jaa.eñ 'riyāz'

    kaam ke jab dīda-e-pur-nam nahīñ to kuchh nahīñ

    aish-o-ishrat sab sahi ye dam nahin to kuchh nahin

    ek duniya ho to kya jab hum nahin to kuchh nahin

    surmagin aankhon mein ashk-e-gham nahin to kuchh nahin

    dast-e-rangin se mera matam nahin to kuchh nahin

    subh ko shab ke satane ka gila-shikwa abas

    jab pareshan gesu-e-barham nahin to kuchh nahin

    ishq se thoDa bahut to hai har insan ko lagao

    dil mein kuchh kuchh dard kuchh kuchh gham nahin to kuchh nahin

    is kamar par is nazakat par ye sidhi chaal kyun

    bal nahin to kuchh nahin kuchh KHam nahin to kuchh nahin

    us ki shoKHi ne use ai dil chhupa rakkha kahan

    hashr mein wo fitna-e-alam nahin to kuchh nahin

    milne walon ka baham mil baiThna bhi lutf hai

    jamghaTe shab ko sar-e-zamzam nahin to kuchh nahin

    us ki raunaq aur hai us ka asar kuchh aur hai

    un ki mahfil mein mera matam nahin to kuchh nahin

    pyare pyare achchhe achchhe munh se han kah de kabhi

    tere sadqe ye teri har-dam nahin to kuchh nahin

    baal khole tum ne to kya chuDiyan toDin to kya

    mere marne ka jo dil se gham nahin to kuchh nahin

    baat jis ki thi gai saqi wo us ke dam ke sath

    jam-e-jam ho bhi to kya jab hum nahin to kuchh nahin

    phuT kar rona nahin to phuT hi jaen 'riyaz'

    kaam ke jab dida-e-pur-nam nahin to kuchh nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now