aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchhi nazm ki KHwahish

Asna Badr

achchhi nazm ki KHwahish

Asna Badr

MORE BYAsna Badr

    achchhī nazm ḳhvāhish bilkul bārish jaisī hotī hai

    ghan ghan bādal garje barse dhuup bhale chamkīlī ho

    achchhī nazm ḳhvāhish bilkul aañsū jaisī hotī hai

    garm garm aariz par bikhre chāhe shab barfīlī ho

    achchhī nazm ḳhvāhish bilkul bachpan jaisī hotī hai

    chhoTe chhoTe bartan hoñ guḌiyā ho aur sahelī ho

    achchhī nazm ḳhvāhish bilkul uljhan jaisī hotī hai

    jaise ḳhud meñ raaz chhupā ho jaise koī pahelī ho

    achchhī nazm ḳhvāhish ek safar ke jaisī hotī hai

    rail meñ merī maañ ho aur donoñ aas bareilly ho

    koī nazm na kahnā jab tak tum par ye sab utre

    nazm koī apnā rutba apnā mansab utre

    achchhi nazm ki KHwahish bilkul barish jaisi hoti hai

    ghan ghan baadal garje barse dhup bhale chamkili ho

    achchhi nazm ki KHwahish bilkul aansu jaisi hoti hai

    garm garm aariz par bikhre chahe shab barfili ho

    achchhi nazm ki KHwahish bilkul bachpan jaisi hoti hai

    chhoTe chhoTe bartan hon guDiya ho aur saheli ho

    achchhi nazm ki KHwahish bilkul uljhan jaisi hoti hai

    jaise KHud mein raaz chhupa ho jaise koi paheli ho

    achchhi nazm ki KHwahish ek safar ke jaisi hoti hai

    rail mein meri man ho aur donon ki aas bareilly ho

    koi nazm na kahna jab tak tum par ye sab na utre

    nazm ka koi apna rutba apna mansab na utre

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Achi nazm ki khwahish Azra Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now