Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn us ka jaan-sahab ruh ko marghub hai

Meer Yaar Ali Jaan

husn us ka jaan-sahab ruh ko marghub hai

Meer Yaar Ali Jaan

MORE BYMeer Yaar Ali Jaan

    husn us 'jān'-sāhab ruuh ko marġhūb hai

    jo ajī nām-e-ḳhudā allāh mahbūb hai

    nuuh aulād aañsū dil buā ayyūb hai

    ek diida hai mirā aadam to ik yāqūb hai

    gul khilā kar baaġh se kyā koī aa.ī ai nasīm

    kyuuñ lajā.ī aañkh us nargis kyuuñ mahjūb hai

    aabrū lene rahtā hai ye tālib raat din

    nas-kaTā ḳhvāja-sarā bairī mirā matlūb hai

    jūtiyāñ khā.īñ na bachkāna churā.īñ jūtiyāñ

    samdhinoñ ne ai miyāñ mujh ko kiyā mahjūb hai

    miir muusā maz.hake hai agar us kalām

    'jān' sāhab shā.iroñ meñ uu-hī kaisā ḳhuub hai

    husn us ka 'jaan'-sahab ruh ko marghub hai

    jo aji nam-e-KHuda allah ka mahbub hai

    nuh ki aulad aansu dil bua ayyub hai

    ek dida hai mera aadam to ek yaqub hai

    gul khila kar bagh se kya koi aai ai nasim

    kyun lajai aankh us nargis ki kyun mahjub hai

    aabru lene ka rahta hai ye talib raat din

    nas-kaTa KHwaja-sara bairi mera matlub hai

    jutiyan khain na bachkana churain jutiyan

    samdhinon ne ai miyan mujh ko kiya mahjub hai

    mir musa mazhake ka hai agar us ka kalam

    'jaan' sahab shairon mein u-hi kaisa KHub hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now