SEARCH RESULTS
Showing search results for "دسمبر"
Sher MATCHES FOR "دسمبر"
Sher
december kii sardii hai us ke hii jaisii
zaraa saa jo chhuu le badan kaa.nptaa hai
Amit Sharma Meet
Sher
yaado.n kii shaal o.Dh ke aavaara-gardiyaa.n
kaaTii hai.n ham ne yuu.n bhii december kii sardiyaa.n
Unknown
Sher
iraada thaa jii luu.ngaa tujh se bichha.D kar
guzartaa nahii.n ik december akele
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Unknown
Sher
ik pal kaa qurb ek baras kaa phir intizaar
aa.ii hai january to december chalaa gayaa
ruKHsaar Nazimabadi
Sher
Rehana Roohi
Sher
'alvii' ye mo.ajiza hai december kii dhuup kaa
saare makaan shahr ke dho.e hu.e se hai.n
Mohammad Alvi
Sher
mai.n ek borii me.n laayaa huu.n bhar ke muu.ng-phalii
kisii ke saath december kii raat kaaTnii hai
Aziz Faisal
Sher
saamne aa.nkho.n ke phir yaKH-basta manzar aa.egaa
dhuup jam jaa.egii aa.ngan me.n december aa.egaa
Sultan Akhtar
Sher
mujh se puuchho kabhii takmiil na hone kii chubhan
mujh pe biite hai.n ka.ii saal december ke baGair
Mohammad Ali Zahir
Sher
sard ThiThurii hu.ii lipTii hu.ii sarsar kii tarah
zindagii mujh se milii pichhle december kii tarah
Mansoor Aafaque
Sher
sitaaro.n aasmaa.n ko jagmagaa do raushnii se
december aaj milne jaa rahaa hai january se
Bhaskar Shukla
Sher
kisii kaa june kabhii KHatm hii nahii.n hotaa
kisii ke paas december qiyaam kartaa hai
Raghvendra Dwivedi
Sher
baarah ghanTo.n kii hai ik raat jo Taltii hii nahii.n
hijr bhii ain december me.n milaa hai mujh ko