SEARCH RESULTS
Showing search results for "گویا"
Sher MATCHES FOR "گویا"
Sher
aa.e to yuu.n ki jaise hamesha the mehrbaan
bhuule to yuu.n ki goyaa kabhii aashnaa na the
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Dhuu.nDtaa phirtaa huu.n mai.n 'iqbaal' apne aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii manzil huu.n mai.n
Allama Iqbal
Sher
jaate hu.e kahte ho qayaamat ko mile.nge
kyaa KHuub qayaamat kaa hai goyaa ko.ii din aur
Mirza Ghalib
Sher
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai pahro.n zikr tumhaaraa tabiib se
Agha Hashr Kashmiri
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
safar ke baa'd bhii mujh ko safar me.n rahnaa hai
nazar se girnaa bhii goyaa KHabar me.n rahnaa hai
Aadil Raza Mansoori
Sher
kisii maashuuq kaa aashiq se KHafaa ho jaanaa
ruuh kaa jism se goyaa hai judaa ho jaanaa
Ahsan Marahravi
Sher
ha.ns ha.ns ke vo mujh se hii mire qatl kii baate.n
is tarah se karte hai.n ki goyaa na kare.nge
Momin Khan Momin
Sher
yuu.n churaa.ii.n us ne aa.nkhe.n saadgii to dekhiye
bazm me.n goyaa mirii jaanib ishaaraa kar diyaa
Fani Badayuni
Sher
idhar udhar mirii aa.nkhe.n tujhe pukaartii hai.n
mirii nigaah nahii.n hai zabaan hai goyaa
Bismil Saeedi
Sher
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa ki mohabbat nahii.n ehsaan kiyaa hai
Afzaal Firdaus
Sher
milte hai.n is adaa se ki goyaa KHafaa nahii.n
kyaa aap kii nigaah se ham aashnaa nahii.n