SEARCH RESULTS
Showing search results for "naaqa"
Sher MATCHES FOR "naaqa"
Sher
har samt gard-e-naaqa-e-lailaa buland hai
pahu.nche jo hausla ho kisii shahsavaar kaa
Altaf Hussain Hali
Sher
yaarab kase hai naaqa har Guncha is chaman kaa
raah-e-vafaa ko ham to masduud jaante hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
sahraa kii ab havaa jo lagii ho gayaa hiran
majnuu.n ke bas kaa naaqa-e-lailaa nahii.n rahaa
Jaleel Manikpuri
Sher
lailaa chalii thii haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd kii manzil me.n rah gayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kyaa thaa ki aaj naaqa be-saarbaan paayaa
majnuu.n ke haath ham ne us kii mahaar dekhii
Meer Hasan
Sher
dasht-e-dil me.n kabhii ik naaqa-savaar aayaa thaa
aaj tak mujh me.n bahut gard u.Daa kartii hai
Tasneem Abidi
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
karuu.ngaa kyaa jo mohabbat me.n ho gayaa naakaam
mujhe to aur ko.ii kaam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
dhuup me.n niklo ghaTaa.o.n me.n nahaa kar dekho
zindagii kyaa hai kitaabo.n ko haTaa kar dekho
Nida Fazli
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Jaun Eliya
Sher
nayaa ik rishta paidaa kyuu.n kare.n ham
bichha.Dnaa hai to jhag.Daa kyuu.n kare.n ham
Jaun Eliya
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
ik saal gayaa ik saal nayaa hai aane ko
par vaqt kaa ab bhii hosh nahii.n diivaane ko
Ibn۔e۔Insha
Sher
mujh ko ye aarzuu vo uThaa.e.n naqaab KHud
un ko ye intizaar taqaazaa kare ko.ii