SEARCH RESULTS
Showing search results for "دسمبر"
Ghazal MATCHES FOR "دسمبر"
Ghazal
gale milaa thaa kabhii dukh bhare december se
mire vajuud ke andar bhii dhund chhaa.ii thii
Tahzeeb Hafi
Ghazal
barf kii tarah december kaa safar hotaa hai
ham use saath na lete to razaa.ii lete
Rahat Indori
Ghazal
pichhle baras tum saath the mere aur december thaa
mahke hu.e din-raat the mere aur december thaa
Farah Shahid
Ghazal
iraada thaa jii luu.ngaa tujh se bichha.D kar
guzartaa nahii.n ik december akele
Ghulam Mohammad Qasir
Ghazal
ummiid kar chukaa thaa na.e saal se bahut
ik aur zaKHm de ke december chalaa gayaa
Khan Janbaz
Ghazal
may aur june kii garmii badan se jab Tapaktii hai
november yaad aataa hai december yaad aataa hai
Aalok Shrivastav
Ghazal
december kii sardii hai us ke hii jaisii
zaraa saa jo chhuu le badan kaa.nptaa hai
Amit Sharma Meet
Ghazal
nigaah-e-garm christmas me.n bhii rahii ham par
hamaare haq me.n december bhii maah-e-june hu.aa
Akbar Allahabadi
Ghazal
Rehana Roohi
Ghazal
sirf saavan to nahii.n aag lagaane vaalaa
june kii tarah december bhii to ho saktaa hai
Siraj Alam Zakhmi
Ghazal
Munazzah Noor
Ghazal
december kii ThiThurii raat me.n us pe.D ke niiche
lapeTe yaad kaa kambal akelaa kaun baiThaa hai
Sandeep Thakur
Ghazal
ham manaae.nge nayaa saal tirii yaad ke saath
zaKHm is baar haraa hogaa december vaalaa
Maqsood Aafaque
Ghazal
vo sard dhuup ret samundar kahaa.n gayaa
yaado.n ke qaafile se december kahaa.n gayaa