aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "idu"
so ye javaab hai meraa mire aduu ke liyeki mujh ko hirs-e-karam hai na KHauf-e-KHamyaazause hai satvat-e-shamshiir par ghamanD bahutuse shikoh-e-qalam kaa nahii.n hai andaaza
tumhe.n bhii zid hai ki mashq-e-sitam rahe jaariihame.n bhii naaz ki jaur-o-jafaa ke aadii hai.ntumhe.n bhii zo.am mahaa-bhaartaa la.Dii tum nehame.n bhii faKHr ki ham karbalaa ke aadii hai.n
ai dekhne vaalois husn ko dekhois raaz ko samjhoye naqsh-e-KHayaaliiye fikrat-e-aaliiye paikar-e-tanviirye krishn kii tasviirma.anii hai ki suuratsan.at hai ki fitratzaahir hai ki mastuurnazdiik hai yaa duurye naar hai yaa nuurduniyaa se niraalaaye baa.nsurii vaalaagokul kaa gvaalaahai sehr ki e.ajaazkhultaa hii nahii.n raazkyaa shaan hai vallaahkyaa aan hai vallaahhairaan huu.n kyaa haiik shaan-e-KHudaa haibut-KHaane ke andarKHud husn kaa but-garbut ban gayaa aa karvo turfa nazzaareyaad aa ga.e saarejamunaa ke kinaaresabze kaa lahaknaaphuulo.n kaa mahaknaaghanghor ghaTaa.e.nsarmast havaa.e.nma.asuum uma.nge.nulfat kii tara.nge.nvo gopiyo.n ke saathhaatho.n me.n diye haathraqsaa.n hu.aa brijnaathbansii me.n jo lai hainashsha hai na mai haikuchh aur hii shai haiik ruuh hai raqsaa.nik kaif hai larzaa.nek aql hai mai-noshik hosh hai mad.hoshik KHanda hai sayyaalik girya hai KHush-haalik ishq hai maGruurik husn hai majbuurik sehr hai mas.huurdarbaar me.n tanhaalaachaar hai kirishnaaaa shyaam idhar aasab ahl-e-KHusuumathai.n dar pa.e izzatye raaj dulaarebuzdil hu.e saareparda na ho taaraajbekas kii rahe laajaa jaa mere kaalebhaarat ke ujaaledaaman me.n chhupaa levo ho ga.ii an-banvo garm hu.aa ranGaalib hai duryodhanvo aa ga.e jagdiishvo miT ga.ii tashviisharjun ko bulaayaaupdesh sunaayaaGam-zaad kaa Gam kyaaustaad kaa Gam kyaalo ho ga.ii tadbiirlo ban ga.ii taqdiirlo chal ga.ii shamshiirsiirat hai aduu-sozsuurat nazar-afrozdil kaifiyat-andozGusse me.n jo aa jaa.ebijlii hii giraa jaa.eaur lutf par aa.eto ghar bhii luTaa jaa.epariyo.n me.n hai gulfaamraadhaa ke liye shyaambalraam kaa bhayyaamathuraa kaa basayyaabindraa me.n kanhayyaaban ho ga.e viiraa.nbarbaad gulistaa.nsakhiyaa.n hai.n pareshaa.njamunaa kaa kinaaraasunsaan hai saaraatuufaan hai.n KHaamoshmaujo.n me.n nahii.n joshlau tujh se lagii haihasrat hii yahii haiai hind ke raajaaik baar phir aa jaadukh dard miTaa jaaabr aur havaa sebulbul kii sadaa sephuulo.n kii ziyaa sejaaduu-asarii gumshoriida-sarii gumhaa.n terii judaa.iimathuraa ko na bhaa.iituu aa.e to shaan aa.etuu aa.e to jaan aa.eaanaa na akeleho.n saath vo melesakhiyo.n ke jhamele
ai sip.har-e-barii.n ke sayyaaroai fazaa-e-zamii.n ke gul-zaaroai pahaa.Do.n kii dil-fareb fazaaai lab-e-juu kii ThanDii ThanDii havaaai anaadil ke naGma-e-sahariiai shab-e-maahtaab taaro.n bhariiai nasiim-e-bahaar ke jho.nkodahr-e-naa-paa.edaar ke dhokotum har ik haal me.n ho yuu.n to aziizthe vatan me.n magar kuchh aur hii chiizjab vatan me.n hamaaraa thaa ramnaatum se dil baaG baaG thaa apnaatum mirii dil-lagii ke saamaa.n thetum mire dard-e-dil ke darmaa.n thetum se kaTtaa thaa ra.nj-e-tanhaa.iitum se paataa thaa dil shakebaa.iiaan ik ik tumhaarii bhaatii thiijo adaa thii vo jii lubhaatii thiikarte the jab tum apnii Gam-KHvaariidho.ii jaatii thii.n kulfate.n saariijab havaa khaane baaG jaate theho ke KHush-haal ghar me.n aate thebaiTh jaate the jab kabhii lab-e-aabdho ke uThte the dil ke daaG shitaabkoh o sahraa o aasmaan o zamii.nsab mirii dil-lagii kii shakle.n thii.npar chhuTaa jis se apnaa mulk o dayaarjii hu.aa tum se KHud-ba-KHud bezaarna gulo.n kii adaa KHush aatii haina sadaa bulbulo.n kii bhaatii haisair-e-gulshan hai jii kaa ik janjaalshab-e-mahtaab jaan ko hai vabaalkoh o sahraa se taa lab-e-dariyaajis taraf jaa.e.n jii nahii.n lagtaakyaa hu.e vo din aur vo raate.ntum me.n aglii sii ab nahii.n baate.nham hii Gurbat me.n ho ga.e kuchh auryaa tumhaare badal ga.e kuchh taurgo vahii ham hai.n aur vahii duniyaapar nahii.n ham ko lutf duniyaa kaaai vatan ai mire bahisht-e-barii.nkyaa hu.e tere aasmaan o zamii.nraat aur din kaa vo samaa.n na rahaavo zamii.n aur vo aasmaa.n na rahaaterii duurii hai morid-e-aalaamtere chhuTne se chhuT gayaa aaraamkaaTe khaataa hai baaG bin teregul hai.n nazro.n me.n daaG bin teremiT gayaa naqsh kaamraanii kaatujh se thaa lutf zindagaanii kaajo ki rahte hai.n tujh se duur sadaain ko kyaa hogaa zindagii kaa mazaaho gayaa yaa.n to do hii din me.n ye haaltujh bin ek ek pal hai ik ik saalsach bataa to sabhii ko bhaataa haiyaa ki mujh se hii teraa naataa haimai.n hii kartaa huu.n tujh pe jaan nisaaryaa ki duniyaa hai terii aashiq-e-zaarkyaa zamaane ko tuu aziiz nahii.nai vatan tuu to aisii chiiz nahii.njin o insaan kii hayaat hai tuumurG o maahii kii kaa.enaat hai tuuhai nabaataat kaa numuu tujh seruukh tujh bin hare nahii.n hotesab ko hotaa hai tujh se nashv-o-numaasab ko bhaatii hai terii aab-o-havaaterii ik musht-e-KHaak ke badleluu.n na hargiz agar bahisht milejaan jab tak na ho badan se judaako.ii dushman na ho vatan se havaa
ai jahaa.n dekh le kab se be-ghar hai.n hamab nikal aa.e hai.n le ke apnaa alamye mahallaat ye uu.nche uu.nche makaa.nin kii buniyaad me.n hai hamaaraa lahuukal jo mehmaan the ghar ke maalik baneshaah bhii hai aduu shaiKH bhii hai aduukab talak ham sahe.n Gaasibo.n ke sitamai jahaa.n dekh le kab se be-ghar hai.n hamab nikal aa.e hai.n le ke apnaa alam
ye vaqt aa.e to be-iraadakabhii kabhii mai.n bhii dekhtaa huu.nutaar kar zaat kaa labaadakahii.n siyaahii malaamato.n kiikahe.n pe gul-buuTe ulfato.n kekahe.n lakiire.n hai.n aa.nsu.o.n kiikahe.n pe KHuun-e-jigar ke dhabbeye chaak hai panja-e-aduu kaaye mohr hai yaar-e-mehrbaa.n kiiye la.al lab-haa-e-mah-vishaa.n keye marhamat shaiKH-e-bad-zabaa.n kii
girii hai barq-e-tapaa.n dil pe ye KHabar sun karcha.Dhaa diyaa hai bhagat-singh ko raat phaa.nsii paruThaa hai naala-e-pur-dard se nayaa mahsharjigar pe maadar-e-bhaarat ke chal ga.e KHanjarshikasta-haal hu.aa qaum ke habiibo.n kaabadan me.n KHushk lahuu ho gayaa Gariibo.n kaaabhii to qaum ne 'nehruu' kaa Gam uThaayaa thaaabhii to daas kii furqat ne hashr Dhaayaa thaaabhii to hijr kaa bismil ke zaKHm khaayaa thaaabhii to koh-e-sitam charKH ne giraayaa thaachale hai.n naavak-e-bedaad phir kalejo.n parki aaj uTh ga.e afsos naujavaa.n rahbaraduu vatan ko tashaddud se kyaa dabaa.e.ngevo apne haath se fitne na.e jagaa.e.ngejo mulk-o-qaum kii devii pe sar cha.Dhaa.e.ngenisaar ho ke shahiido.n me.n naam paa.e.ngegiregaa qatra-e-KHuu.n bhii jahaa.n sapuuto.n kaafidaa-e-hind vahaa.n ho.nge sai.nka.Do.n paidaajahaa.n se mulk-e-adam naunihaal jaate hai.nnumaayaa.n kar ke sitam-kash kaa haal jaate hai.ngiraa ke hind me.n koh-e-malaal jaate hai.nvatan ko chho.D ke bhaarat ke laal jaate hai.nta.Dap rahe hai.n judaa.ii me.n be-qaraar-e-vatanchale hai.n aalam-e-baalaa ko jaa.n-nisaar-e-vatan
bhuul ga.ii hai aaj to rahbar-e-haq-nigaah kobhuul ga.ii hai aaj tuu mard-e-jahaa.n-panaah kobhuul ga.ii hai aaj tuu zabt ke baadshaah kotujh se kahuu.n to kyaa kahuu.n ai mirii baa-muraad qaumai mirii zindabaad qaum ai mirii zindabaad qaumtere mahant to abhii mast hai.n zaat-paat me.ntere ba.De ba.De guruu Garq hai.n chhuut-chhaat me.naah ki Dhuu.nDhtii hai tuu nuur a.ndherii raat me.ntujh se kahuu.n to kyaa kahuu.n ai mirii baa-muraad qaumai mirii zindabaad qaum ai mirii zindabaad qaumaah ki tuu ne zabt ke dars ko bhii bhulaa diyaaaah ki tuu ne qalb se naam-e-safaa miTaa diyaaaah ki dosto.n ko bhii tuu ne aduu banaa diyaatujh se kahuu.n to kyaa kahuu.n ai mirii baa-muraad qaumai mirii zindabaad qaum ai mirii zindabaad qaumtere mushiir be-amal tere vaziir be-amaltere Gariib be-amal tere amiir be-amaltere safiir be-amal tere kabiir be-amaltujh se kahuu.n to kyaa kahuu.n ai mirii baa-muraad qaumai mirii zindabaad qaum ai mirii zindabaad qaumuf ki qadam qadam pe hai teraa shariik ahrmanuf ki tujhe nasiib hai.n firqa-parast raahzanuf ki tujhe aziiz hai.n charb-zabaan-o-bad-suKHantujh se kahuu.n to kyaa kahuu.n ai mirii baa-muraad qaumai mirii zindabaad qaum ai mirii zindabaad qaumuf ki jahaalato.n pe bhii aql kaa hai gumaa.n tujheuf ki abhii pasand hai jahl kii daastaa.n tujheuf ki hai firqa dostii detii abhii amaa.n tujhetujh se kahuu.n to kyaa kahuu.n ai mirii baa-muraad qaumai mirii zindabaad qaum ai mirii zindabaad qaumzulm kiye hai.n tuu ne jo zulm ke shaahido.n se puuchhqatl kiye hai.n kis qadar apne mujaahido.n se puuchhpiite hai.n roz kitnii mai jhuuT ke zaahido.n se puuchhtujh se kahuu.n to kyaa kahuu.n ai mirii baa-muraad qaumai mirii zindabaad qaum ai mirii zindabaad qaumdars-e-mahaatmaa kaa bhii tujh par ko.ii asar nahii.nqaul-e-mahaatmaa pe bhii aaj tirii nazar nahii.nkaun hai us kaa jaa-nashii.n is kii tujhe KHabar nahii.ntujh se kahuu.n to kyaa kahuu.n ai mirii baa-muraad qaumai mirii zindabaad qaum ai mirii zindabaad qaumtujh ko bataa.e kaun aaj asl me.n raahbar hai kauntujh ko bataa.e kaun aaj banda-e-mo.tabar hai kauntujh ko bataa.e kaun aaj piir-e-javaa.n-nazar hai kauntujh se kahuu.n to kyaa kahuu.n ai mirii baa-muraad qaumai mirii zindabaad qaum ai mirii zindabaad qaumdekh na chashm-e-shauq se pattharo.n ke to taur tuuqadr-e-javaahar-e-hasii.n dekh ba-chashm-e-Gaur tuuvarna hazaar zillate.n tere liye hai.n aur tuutujh se kahuu.n to kyaa kahuu.n ai mirii baa-muraad qaumai mirii zindabaad qaum ai mirii zindabaad qaum
is qaum kii falaah hai jaam-o-subuu ke bechtum intiKHaab jaa ke la.Do haav-huu ke biichdushnaam aur balvo.n ke aur duu-ba-duu ke biichjaise ki ko.ii baiThaa ho bazm-e-aduu ke biich''mastii se darhamii hai mirii guftuguu ke biich''''jo chaaho tum bhii mujh ko kaho mai.n nashe me.n huu.n''
giraa rahaa hai tiraa shauq sham.a par tujh komujhe ye Dar hai na pahu.nche kahii.n zarar tujh kofaroG-e-shola kahaa.n aur faroG-e-husn kahaa.nhazaar haif ki itnii nahii.n KHabar tujh kota.Dap ta.Dap ke jo be-iKHtiyaar kartaa hainahii.n hai aag ke shola se aah Dar tujh koye nanhe nanhe par o baal ye sitam kii tapishmilaa hai aah qayaamat kaa kyaa jigar tujh koqariib sham.a ke aa kar jo thartharaataa hainahii.n hai jaan ke jaane kaa Gam magar tujh komilegii KHaak bhii Dhuu.nDe na terii mahfil me.nsabaa u.Daa.e phiregii dam-e-sahar tujh kosamajh na sham.a ko dil soz aafiyat dushmanjalaa ke aah rahegii ye musht-e-par tujh konahii.n hai tuu abhii soz-o-gudaaz ke qaabilnahii.n hai ishq kii arz o niyaaz ke qaabiltapish ye bazm me.n faanuus par nahii.n achchhiiki aag laag kii o be-KHabar nahii.n achchhiika.Dii hai aa.nch mohabbat kii sham-e-mahfil selagaavTe.n are tufta-jigar nahii.n achchhiita.Dap ta.Dap ke na diivaana-vaar sham.a pe girtapish ye shauq kii, o musht-e-par nahii.n achchhiiye jaa.n-gudaazi-e-soz-e-vafaa sar-e-mahfilkahii.n na ho tire jii kaa zarar nahii.n achchhiila.Daa na sham.a se aa.nkhe.n ki hai uduu teriitirii nigaah-e-mohabbat-asar nahii.n achchhiiye nanhe nanhe paro.n kii ta.Dap ye betaabiiHariif-e-shoKHi-e-barq-e-nazar nahii.n achchhiiye par sameT ke faanuus par tiraa girnaaye be-KHudii are shoriida-sar nahii.n achchhiichaman me.n chal ki dikhaa.uu.n bahaar-e-shaahid-e-gulnazar fareb hai.n naqsh-o-nigaar-e-shaahid-e-gulmai.n bul-havas nahii.n samjhaa hai tuu ne kyaa mujh kopasand shaahid-e-gul kii nahii.n adaa mujh kofiraaqe-e-gul me.n mai.n minnta-kash-e-fuGaa.n huu.n dareGye daaG-e-soz-e-judaa.ii na de KHudaa mujh koDil-e-gudaaKHta le kar azal se aayaa huu.nbanaayaa bazm me.n hai soz-aashnaa mujh kojale vo bazm me.n chup-chaap aur mai.n na jaluu.nba.iid ishq se hai ho Gam-e-fanaa mujh kotirii nigaah me.n jaa.n-soz hai jo ai bulbulvo aah aag kaa shola hai jaa.n-fazaa mujh kokhulaa hai tujh pe abhii aah raaz-e-ishq kahaa.ntuu bul-havas hai, tujhe imtiyaaz-e-ishq kahaa.n
ai naazir-e-be-KHabarab tum naa hii aa.o to achchhaa haiab yahaa.n phir shuruu.a se shuruu.a kaun karelamha lamha shab-e-Gam kaa yuu.n aduu kaun kareho.nT suukhe hai.n inhe.n phir se kamaa.n kaun karediid ko chashma-o-shamshiir zabaa.n kaun kare
fasl-e-bahaar aa.ii magar ham hai.n aur Gamhar samt se hai.n ghere hu.e sadma-o-alamaa.ii na uf zabaa.n pe sitam par hu.e sitamkyaa imtihaa.n ke vaaste Thahre hai.n sirf hamjab apnii quvvato.n pe bharosaa nahii.n rahaabehtar hai phir jahaa.n se uThaa le hame.n KHudaais umr-e-chand-roza me.n kii laakh justujuuchhaanii hai ham ne KHaak zamaane me.n kuu-ba-kuushikva aduu kaa kyaa hai jab ahbaab hai.n aduujiine kii ik second nahii.n ab to aarzuuham ne samajh liyaa ki jahaa.n se guzar ga.ejab dil hii mar gayaa to sab armaan mar ga.eham par giraa.e.n charKH ne is had pe bijliyaa.ndam-bhar me.n jal ke KHaak hu.ii.n saarii ustuKHaa.nchaltii rahii.n havaa-e-muKHaalif kii aa.ndhiyaa.naataa nahii.n samajh me.n ki jaa kar chhupe.n kahaa.nzer-e-zamii.n bhii chain kii ummiid ab nahii.nphir kyaa hai ye bataa de ko.ii gar Gazab nahii.nmakr-o-fareb se jo kare.n zindagii basarsau jaa.n hazaar dil se ho qurbaan har bashardin raat ham ho.n aur ho.n ahbaab-e-KHiira-sariimaan-daariyo.n me.n kaTii zindagii agarhar ek kii nigaah me.n bas KHaar ho ga.ebe-so.nche-samjhe mustahiq-e-daar ho ga.eda.avaa to ye hai ham bhii musalmaan hai.n zaruurkalma jo pochhiye to nahii.n yaad hai huzuurkyaa Gam agar shikasta aziizo.n ke hai.n qubuurteraa ye is pe had se ziyaada hai kuchh Guruurmelo.n ke vaaste jo talab ho to KHuub de.nqaumii jo ko.ii kaam ho to naam bhii na le.npuuchhaa agar ibaadat-e-KHaaliq hai ko.ii chiizfarmaayaa dil me.n ye to nihaayat hai bad-tamiizaiyyaashiyaa.n jo kiijiye to aap hai.n aziizai qaum kaahilii hai tirii ghar kii ab kaniizachchhii burii kaa jab to nahii.n imtiyaaz haibe-maa.egii par apnii faqat tujh ko naaz haihushyaar ko.ii laakh kare to hai be-KHabaris darja be-hayaa ki nahii.n dil pe kuchh asarnaazaa.n hai.n sirf baap ke daadaa ke naam parqarze me.n ho rahii hai magar zindagii basardekho to Gair ha.nste hai.n hoshyaar ho zaraalillaah ab to KHvaab se bedaar ho zaraaphuulo-phalo ilaahii raho shaad sar-ba-sarho naKHl-e-ittihaad hamesha ye baarvarvo din KHudaa dikhaa.e ki le aa.e ye samaraanaa hai tum ko manzil-e-maqsuud tak agarDaalii hai ittihaad kii tum ne jo daaG-belhimmat na haaro jaan ke bachcho.n kaa ek kheldekho to aur qaumo.n me.n kyaa ittihaad haidaulat se aur ilm se har ek shaad haitum me.n bhii aaj aisaa ko.ii KHush-nihaad haimahmuud kaa ye qaul hame.n ab to yaad haido din rahe jo aa ke jahaa.n me.n to khal ga.eaaKHir ko misl-e-KHaar-e-chaman se nikal ga.eai sakinaan mauza-e-jugvuur assalaamduniyaa hai aaj tum ko har ik baat kaa payaamab to nikaalo apnii dilo.n se KHayaal-e-KHaamachchhaa nahii.n jo Gair ke ban jaa.o tum Gulaamachchhii nasiihato.n pe amal phir zaruur haiko.ii na ye kahe ki saraasar qusuur haiapne umuur me.n na karo Gair ko shariikshar ko na Dhuu.nDho aur karo KHair ko shariikachchhe nahii.n safar jo kare.n sair ko shariikka.abe ke zikr me.n na karo dair ko shariiktum KHud rahe ho saahib-e-iqbaal dahr me.nkyuu.n Dhuu.nDte ho zaa.iqa-e-shahd zahar me.naKHlaaq kaa charaaG bujhaanaa na chaahiyezulmat-kada me.n Gair ke jaanaa na chaahiyesachchii nasiihato.n ko bhulaanaa na chaahiyetum ko kisii fareb me.n aanaa na chaahiyeallaah ke bharosa pe har kaam tum karodushman bhii jis ko maan le.n vo naam tum karo
shauq aazaadii kaa mujh ko khii.nch laayaa hai yahaa.naaj dushman hai zamii.n merii aduu hai aasmaa.n
har ek bachcha hai ek bachcha na hai kisii kaa kabhii aduu voye bhed bhaav ye faasla sab KHud apnaa paidaa kiyaa hu.aa haikisii kaa maz.hab nahii.n ye kahtaa ki tum na jiine do duusro.n koKHudaa to sab kaa hai ek lekin maqaam-e-sajda judaa judaa hai
jo aduu hai.n vo hamaare hii aduu kab hai.n faqatham hadaf kab hai.n ki un kaa hadaf aasaanii haiun ko ma.aluum nahii.n ham hai.n ko.ii shaukat-e-zauilm kaa qatl faqat maz.habii naadaanii hai
terii guftuguu me.nek justujuu haijo mere ruu-ba-ruu haimeraa huu-ba-huu haimeraa mai.naur teraa mai.ndar-asl yahii todono.n kaa aduu haichalo is mai.n kaafaasla miTaa de.nmagarmai.n kii is anaa me.n qaidhamaare vajuud koye faislamanzuur kab hai
be-jhijak, be-KHatarbe-dha.Dak vaar karmerii gardan u.Daaaur KHuu.n se mire kaamyaabii ke apnii na.e jaam bharchhiin le husn-o-KHuubii, anaa, dilkashiimere lafzo.n me.n lipTaa hu.aa maal-o-zarmerii poro.n se bahtii hu.ii raushniimere maathe pe likkhe hu.e sab hunartujh se shikva nahii.nai aduu mere mai.n terii hamdard huu.nterii be-chehragii mujh ko bhaatii nahii.ntujh se kaise kahuu.n!!!tujh se kaise kahuu.n! qatl karnaa mujhe tere bas me.n nahii.n(aur ho bhii agar, terii kam-maa.egii maa mudaavaa nahii.n)haa.n magar terii dil-juu.ii ke vaastemerii gardan pe yuu.n teraa KHanjar rahe(terii daanist me.n)khel jaarii rahe
mujhe yaqii.n haiki tum kaun meh.ndii sejab mere aduu kaa naamapnii KHuubsuurat kalaa.ii par likhogiitomeraa KHayaal aate hiiaaKHir ek dinus manhuus ke naam parKHud hiiba.Daa saa kaa.nTaa lagaa dogiiaur duusrii kalaa.ii parmeraa naam likh karuse der tak chuumtii rahogiimai.n us lamhe ke intizaar me.nmutabaadil kalaa.iyo.n kii jaanib se mausuulahazaaro.n dil-paziir aafrii.nmusalsal mustarad kiye jaa rahaa huu.nkyuu.nkiduniyaa ummiid par qaa.em hai
ishq-e-vatan me.n jab se diivaana ho gayaa huu.npaidaa shajar ho jis se vo daana ban gayaa huu.nbe-shak zamii.n me.n mujh ko KHush ho ke ab milaa tuudard-e-zabaa.n huu.n sab kaa afsaana ho gayaa huu.nqurbaan huu.n aduu ke zor-e-sitam ke sadqesah sah ke ranj-o-Gam ko mardaana ho gayaa huu.ndil me.n charaaG jab se raushan hu.aa vatan kaaparvaa na jo ki kuchh bhii parvaana ho gayaa huu.nsaaqii sharaab terii ab kyaa asar karegiihubb-e-vatan kii mai pii mastaana ho gayaa huu.ntaasiir-e-ishq yaaro dekhii tirii niraaliipii pii sharaab-e-ulfat begaana ho gayaa huu.n
kahaa jo marte hai.n tum par to ha.ns ke farmaayaamare.n tumhaare aduu duur paar holii me.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books