Top 20 Judai Shayari
Some excellent judai shayari in urdu shayari are enlisted to serve as your ally in the difficult times. The pain or inevitability of separation weighs heavy even on the strongest minds.
TOP 20 SERIES
- Aadmi/Insaan Shayari
- Aankh Shayari
- Aansoo Shayari
- Abdul Hamid Adam Shayari
- Ahmad Faraz Shayari
- Ahmad Mushtaq Shayari
- Aina Shayari
- Allama Iqbal Shayari
- Ameer Minai Shayari
- Angdaai Shayari
- Barish Shayari
- Bashir Badr Shayari
- Daag Dehlvi Shayari
- Dard Shayari
- Dhoka Shayari
- Dil Shayari
- Dost/Dosti Shayari
- Dua Shayari
- Duniya Shayari
- Faiz Ahmad Faiz Shayari
- Farewell Shayari
- Firaq Gorakhpuri Shayari
- Gulzar Shayari
- Husn Shayari
- Imam Bakhsh Nasikh Shayari
- Intizaar Shayari
- ISHQ Shayari
- jaun eliyaa Shayari
- Javed AKhtar Shayari
- Jigar Moradabadi Shayari
- Judai Shayari
- Khamoshi Shayari
- Kiss Shayari
- Kitab Shayari
- Lala Madhav Ram Jauhar Shayari
- Majaz Shayari
- Majrooh Sultanpuri Shayari
- Maut Shayari
- Mir Taqi Mir Shayari
- Mirza Ghalib Shayari
- Mohammad Alvi Shayari
- Most Quoted Sher
- Motivational Shayari
- Mulaqat Shayari
- Munir Niyazi Shayari
- Mushafi Ghulam Hamadani
- Muskurahat Shayari
- Muztar Khairabadi Shayari
- Nasir Kazmi Shayari
- Nazir Akbarabadi Shayari
- Nida Fazli Shayari
- Parveen Shakir Shayari
- Phool Shayari
- Sad Shayari
- Safar Shayari
- Sahir Ludhianvi Shayari
- Shad Azeemabadi
- Shahryar Shayari
- Sharab Shayari
- Tanhai Shayari
- Tasweer Shayari
- Visaal Shayari
- Wafa Shayari
- Waqt Shayari
- Waseem Barelvi Shayari
- Welcome Shayari
- Yaad Shayari
- Zafar Iqbal Shayari
- Zindagi Shayari
- Zulf Shayari
ab judā.ī ke safar ko mire āsān karo
tum mujhe ḳhvāb meñ aa kar na pareshān karo
ab judai ke safar ko mere aasan karo
tum mujhe KHwab mein aa kar na pareshan karo
-
Tags: Ishqand 3 more
ab ke ham bichhḌe to shāyad kabhī ḳhvāboñ meñ mileñ
jis tarah sūkhe hue phuul kitāboñ meñ mileñ
should we now be parted, in dreams we might be found
like dried flowers found in books, fragile, fraying browned
ab ke hum bichhDe to shayad kabhi KHwabon mein milen
jis tarah sukhe hue phul kitabon mein milen
should we now be parted, in dreams we might be found
like dried flowers found in books, fragile, fraying browned
-
Tags: Famous shayariand 2 more
bichhḌā kuchh is adā se ki rut hī badal ga.ī
ik shaḳhs saare shahr ko vīrān kar gayā
bichhDa kuchh is ada se ki rut hi badal gai
ek shaKHs sare shahr ko viran kar gaya
-
Tags: Mautand 1 more
chamakte chāñd se chehroñ ke manzar se nikal aa.e
ḳhudā hāfiz kahā bosa liyā ghar se nikal aa.e
chamakte chand se chehron ke manzar se nikal aae
KHuda hafiz kaha bosa liya ghar se nikal aae
-
Tag: Judai
jis kī āñkhoñ meñ kaTī thiiñ sadiyāñ
us ne sadiyoñ kī judā.ī dī hai
jis ki aankhon mein kaTi thin sadiyan
us ne sadiyon ki judai di hai
-
Tag: Judai
ḳhud chale aao yā bulā bhejo
raat akele basar nahīñ hotī
KHud chale aao ya bula bhejo
raat akele basar nahin hoti
-
Tags: Hijrand 1 more
ḳhushk ḳhushk sī palkeñ aur suukh jaatī haiñ
maiñ tirī judā.ī meñ is tarah bhī rotā huuñ
KHushk KHushk si palken aur sukh jati hain
main teri judai mein is tarah bhi rota hun
-
Tag: Judai
kis kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham
tū mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa
kis kis ko bataenge judai ka sabab hum
tu mujh se KHafa hai to zamane ke liye aa
-
Tags: Famous shayariand 5 more
kuchh ḳhabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirī yaad meñ bedār rahā
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone wale
raat bhar kaun teri yaad mein bedar raha
-
Tags: Hijrand 2 more
lagī rahtī hai ashkoñ kī jhaḌī garmī ho sardī ho
nahīñ ruktī kabhī barsāt jab se tum nahīñ aa.e
lagi rahti hai ashkon ki jhaDi garmi ho sardi ho
nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aae
-
Tags: Aansooand 3 more
mahīne vasl ke ghaḌiyoñ kī sūrat uḌte jaate haiñ
magar ghaḌiyāñ judā.ī kī guzartī haiñ mahīnoñ meñ
mahine wasl ke ghaDiyon ki surat uDte jate hain
magar ghaDiyan judai ki guzarti hain mahinon mein
-
Tag: Judai
maiñ ne samjhā thā ki lauT aate haiñ jaane vaale
tū ne jā kar to judā.ī mirī qismat kar dī
main ne samjha tha ki lauT aate hain jaane wale
tu ne ja kar to judai meri qismat kar di
-
Tags: Intezarand 1 more
milnā thā ittifāq bichhaḌnā nasīb thā
vo utnī duur ho gayā jitnā qarīb thā
milna tha ittifaq bichhaDna nasib tha
wo utni dur ho gaya jitna qarib tha
-
Tag: Judai
tujh se qismat meñ mirī sūrat-e-qufl-e-abjad
thā likhā baat ke bante hī judā ho jaanā
tujh se qismat mein meri surat-e-qufl-e-abjad
tha likha baat ke bante hi juda ho jaana
-
Tags: Judaiand 1 more
tum se bichhaḌ kar zinda haiñ
jaan bahut sharminda haiñ
tum se bichhaD kar zinda hain
jaan bahut sharminda hain
-
Tags: Famous shayariand 6 more
us ko ruḳhsat to kiyā thā mujhe ma.alūm na thā
saarā ghar le gayā ghar chhoḌ ke jaane vaalā
us ko ruKHsat to kiya tha mujhe malum na tha
sara ghar le gaya ghar chhoD ke jaane wala
-
Tags: Farewelland 1 more
usī maqām pe kal mujh ko dekh kar tanhā
bahut udaas hue phuul bechne vaale
usi maqam pe kal mujh ko dekh kar tanha
bahut udas hue phul bechne wale
-
Tag: Judai
vasl meñ rañg uḌ gayā merā
kyā judā.ī ko muñh dikhā.ūñgā
wasl mein rang uD gaya mera
kya judai ko munh dikhaunga
-
Tags: Judaiand 1 more
yaad hai ab tak tujh se bichhaḌne kī vo añdherī shaam mujhe
tū ḳhāmosh khaḌā thā lekin bāteñ kartā thā kājal
yaad hai ab tak tujh se bichhaDne ki wo andheri sham mujhe
tu KHamosh khaDa tha lekin baaten karta tha kajal
-
Tags: Farewelland 2 more
yuuñ lage dost tirā mujh se ḳhafā ho jaanā
jis tarah phuul se ḳhushbū kā judā ho jaanā
yun lage dost tera mujh se KHafa ho jaana
jis tarah phul se KHushbu ka juda ho jaana
-
Tags: Dostand 1 more