bahār kī havā.eñ aa.iiñ sharq se
chalī ga.iiñ guzar ga.iiñ ki tez-tar thiiñ barq se
magar vo aise dhuñdle dhuñdle bulbuloñ ko chhoḌ kar chalī ga.ī haiñ sāġhar-e-sharāb meñ
ki farq koī bhī nahīñ hai un meñ aur hubāb meñ
guloñ kī ek ek kar ke pattiyāñ
ravāñ haiñ farsh-e-ḳhāk kī taraf chamāñ-chamāñ
tū ai hasīn nāznīñ
ki jis kā chehra hai gulāb-gūñ
sharāb ke asar se jis kī surḳhiyāñ huiiñ fuzūñ
batā ki sabza-zār meñ
daraḳht jo uge hue haiñ kab talak raheñge vo bahār meñ
qarār ik fareb hai har ik nigāh ke liye
bahut hī jald lamhe ā.eñge yahīñ
ki hogī hājat aadmī ko ik 'asā kī qat'-e-rāh ke liye
har ek samt nuur hai
uTho aur aao ek raqs ek vajd-o-josh meñ
shabāb kī hai dil meñ ab umang ik surūr hai
ye jab samāñ chalā gayā
nahīñ phir is se fā.eda
ki aa.e apne sar ko dekh kar safed hosh meñ
bahaar ki hawaen aain sharq se
chali gain guzar gain ki tez-tar thin barq se
magar wo aise dhundle dhundle bulbulon ko chhoD kar chali gai hain saghar-e-sharab mein
ki farq koi bhi nahin hai un mein aur hubab mein
gulon ki ek ek kar ke pattiyan
rawan hain farsh-e-KHak ki taraf chaman-chaman
tu ai hasin naznin
ki jis ka chehra hai gulab-gun
sharab ke asar se jis ki surKHiyan huin fuzun
bata ki sabza-zar mein
daraKHt jo uge hue hain kab talak rahenge wo bahaar mein
qarar ek fareb hai har ek nigah ke liye
bahut hi jald lamhe aaenge yahin
ki hogi hajat aadmi ko ek 'asa ki qat'-e-rah ke liye
har ek samt nur hai
uTho aur aao ek raqs ek wajd-o-josh mein
shabab ki hai dil mein ab umang ek surur hai
ye jab saman chala gaya
nahin phir is se faeda
ki aae apne sar ko dekh kar safed hosh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.