aaKHiri Tis aazmane ko
āḳhirī Tiis āzmāne ko
jī to chāhā thā muskurāne ko
yaad itnī bhī saḳht-jāñ to nahīñ
ik gharauñdā rahā hai Dhāne ko
sañg-rezo meñ Dhal ga.e aañsū
log hañste rahe dikhāne ko
zaḳhm-e-naġhma bhī lau to detā hai
ik diyā rah gayā jalāne ko
jalne vaale to jal bujhe āḳhir
kaun detā ḳhabar zamāne ko
kitne majbūr ho ga.e hoñge
an-kahī baat muñh pe laane ko
khul ke hañsnā to sab ko aatā hai
log tarse haiñ ik bahāne ko
reza reza bikhar gayā insāñ
dil kī vīrāniyāñ jatāne ko
hasratoñ kī panāh-gāhoñ meñ
kyā Thikāne haiñ sar chhupāne ko
haath kāñToñ se kar liye zaḳhmī
phuul bāloñ meñ ik sajāne ko
aas kī baat ho ki saañs 'adā'
ye khilaune the TuuT jaane ko
aaKHiri Tis aazmane ko
ji to chaha tha muskurane ko
yaad itni bhi saKHt-jaan to nahin
ek gharaunda raha hai Dhane ko
sang-rezo mein Dhal gae aansu
log hanste rahe dikhane ko
zaKHm-e-naghma bhi lau to deta hai
ek diya rah gaya jalane ko
jalne wale to jal bujhe aaKHir
kaun deta KHabar zamane ko
kitne majbur ho gae honge
an-kahi baat munh pe lane ko
khul ke hansna to sab ko aata hai
log tarse hain ek bahane ko
reza reza bikhar gaya insan
dil ki viraniyan jatane ko
hasraton ki panah-gahon mein
kya Thikane hain sar chhupane ko
hath kanTon se kar liye zaKHmi
phul baalon mein ek sajaane ko
aas ki baat ho ki sans 'ada'
ye khilaune the TuT jaane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.