deti nahin aman jo zamin aasman to hai
detī nahīñ amaañ jo zamīñ āsmāñ to hai
kahne ko apne dil se koī dāstāñ to hai
yuuñ to hai rañg zard magar hoñT laal haiñ
sahrā kī vus.atoñ meñ kahīñ gulsitāñ to hai
ik chiil ek mumTī pe baiThī hai dhuup meñ
galiyāñ ujaḌ ga.ī haiñ magar pāsbāñ to hai
āvāz de ke dekh lo shāyad vo mil hī jaa.e
varna ye umr bhar kā safar rā.egāñ to hai
mujh se bahut qarīb hai tū phir bhī ai 'munīr'
parda sā koī mere tire darmiyāñ to hai
deti nahin aman jo zamin aasman to hai
kahne ko apne dil se koi dastan to hai
yun to hai rang zard magar honT lal hain
sahra ki wusaton mein kahin gulsitan to hai
ek chil ek mumTi pe baiThi hai dhup mein
galiyan ujaD gai hain magar pasban to hai
aawaz de ke dekh lo shayad wo mil hi jae
warna ye umr bhar ka safar raegan to hai
mujh se bahut qarib hai tu phir bhi ai 'munir'
parda sa koi mere tere darmiyan to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.