kis ko mehrban kahiye kaun mehrban apna
kis ko mehrbāñ kahiye kaun mehrbāñ apnā
vaqt kī ye bāteñ haiñ vaqt ab kahāñ apnā
ab jahāñ meñ baaqī hai aah se nishāñ apnā
uḌ ga.e dhueñ apne rah gayā dhuāñ apnā
ai ḳhudā gila sun le apnī be-niyāzī kā
aaj haal kahtā hai ek be-zabāñ apnā
so ke raat kaaTī hai be-kasī ke pahlū meñ
chāñdnī ne dekhā hai mere ghar samāñ apnā
ghar to ab bhī duniyā ke dhuup hī meñ bante haiñ
kyuuñ uThā nahīñ letā saaya āsmāñ apnā
ham safar ke qisse ko ḳhatm kar ke chalte haiñ
rāsta badaltī hai apnī dāstāñ apnā
nā-murād duniyā meñ rah ke ḳhuub bhar paa.e
chal nikal chaleñ ai dil kuchh nahīñ yahāñ apnā
jānte hue 'nātiq' ham-vatan kī hālat ko
DhūñDte phireñ jā kar kis liye makāñ apnā
kis ko mehrban kahiye kaun mehrban apna
waqt ki ye baaten hain waqt ab kahan apna
ab jahan mein baqi hai aah se nishan apna
uD gae dhuen apne rah gaya dhuan apna
ai KHuda gila sun le apni be-niyazi ka
aaj haal kahta hai ek be-zaban apna
so ke raat kaTi hai be-kasi ke pahlu mein
chandni ne dekha hai mere ghar saman apna
ghar to ab bhi duniya ke dhup hi mein bante hain
kyun uTha nahin leta saya aasman apna
hum safar ke qisse ko KHatm kar ke chalte hain
rasta badalti hai apni dastan apna
na-murad duniya mein rah ke KHub bhar pae
chal nikal chalen ai dil kuchh nahin yahan apna
jaante hue 'natiq' ham-watan ki haalat ko
DhunDte phiren ja kar kis liye makan apna
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.