kisi jhuTi wafa se dil ko bahlana nahin aata
kisī jhūTī vafā se dil ko bahlānā nahīñ aatā
mujhe ghar kāġhazī phūloñ se mahkānā nahīñ aatā
maiñ jo kuchh huuñ vahī kuchh huuñ jo zāhir hai vo bātin hai
mujhe jhūTe dar-o-dīvār chamkānā nahīñ aatā
maiñ dariyā huuñ magar bahtā huuñ maiñ kohsār kī jānib
mujhe duniyā kī pastī meñ utar jaanā nahīñ aatā
zar-o-māl-o-javāhir le bhī aur Thukrā bhī saktā huuñ
koī dil pesh kartā ho to Thukrānā nahīñ aatā
parinda jānib-e-dāna hamesha uḌ ke aatā hai
parinde kī taraf uḌ kar kabhī daana nahīñ aatā
agar sahrā meñ haiñ to aap ḳhud aa.e haiñ sahrā meñ
kisī ke ghar to chal kar koī vīrāna nahīñ aatā
huā hai jo sadā us ko nasīboñ kā likhā samjhā
'adīm' apne kiye par mujh ko pachhtānā nahīñ aatā
kisi jhuTi wafa se dil ko bahlana nahin aata
mujhe ghar kaghazi phulon se mahkana nahin aata
main jo kuchh hun wahi kuchh hun jo zahir hai wo baatin hai
mujhe jhuTe dar-o-diwar chamkana nahin aata
main dariya hun magar bahta hun main kohsar ki jaanib
mujhe duniya ki pasti mein utar jaana nahin aata
zar-o-mal-o-jawahir le bhi aur Thukra bhi sakta hun
koi dil pesh karta ho to Thukrana nahin aata
parinda jaanib-e-dana hamesha uD ke aata hai
parinde ki taraf uD kar kabhi dana nahin aata
agar sahra mein hain to aap KHud aae hain sahra mein
kisi ke ghar to chal kar koi virana nahin aata
hua hai jo sada us ko nasibon ka likha samjha
'adim' apne kiye par mujh ko pachhtana nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.