manzar guzishta shab ke daman mein bhar raha hai
manzar guzishta shab ke dāman meñ bhar rahā hai
dil phir kisī safar kā sāmān kar rahā hai
yā rat-jagoñ meñ shāmil kuchh ḳhvāb ho ga.e haiñ
chehra kisī ufuq kā yā phir ubhar rahā hai
yā yūñhī merī āñkheñ hairān ho ga.ī haiñ
yā mere sāmne se phir tū guzar rahā hai
dariyā ke paas dekho kab se khaḌā huā hai
ye kaun tishna-lab hai paanī se Dar rahā hai
hai koī jo batā.e shab ke musāfiroñ ko
kitnā safar huā hai kitnā safar rahā hai
manzar guzishta shab ke daman mein bhar raha hai
dil phir kisi safar ka saman kar raha hai
ya rat-jagon mein shamil kuchh KHwab ho gae hain
chehra kisi ufuq ka ya phir ubhar raha hai
ya yunhi meri aankhen hairan ho gai hain
ya mere samne se phir tu guzar raha hai
dariya ke pas dekho kab se khaDa hua hai
ye kaun tishna-lab hai pani se Dar raha hai
hai koi jo batae shab ke musafiron ko
kitna safar hua hai kitna safar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.