safar mein aise kai marhale bhi aate hain
safar meñ aise ka.ī marhale bhī aate haiñ
har ek moḌ pe kuchh log chhūT jaate haiñ
ye jaan kar bhī ki patthar har ek haath meñ hai
jiyāle log haiñ shīshoñ ke ghar banāte haiñ
jo rahne vaale haiñ log un ko ghar nahīñ dete
jo rahne vaalā nahīñ us ke ghar banāte haiñ
jinheñ ye fikr nahīñ sar rahe rahe na rahe
vo sach hī kahte haiñ jab bolne pe aate haiñ
kabhī jo baat kahī thī tire ta.alluq se
ab us ke bhī ka.ī matlab nikāle jaate haiñ
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jate hain
ye jaan kar bhi ki patthar har ek hath mein hai
jiyale log hain shishon ke ghar banate hain
jo rahne wale hain log un ko ghar nahin dete
jo rahne wala nahin us ke ghar banate hain
jinhen ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
wo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
kabhi jo baat kahi thi tere talluq se
ab us ke bhi kai matlab nikale jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.