sitare ka raaz rakh liya mehman maine
sitāre kā raaz rakh liyā mehmān maiñ ne
ik ujle ḳhvāb aur aañkh ke darmiyān maiñ ne
chaḌhā hai jab chāñd āsmāñ par to bojh utrā
sunā dī har sone vaale ko dāstān maiñ ne
tamām tesha-ba-dast hairat meñ gum hue haiñ
charāġh se kaaT dī havā kī chaTān maiñ ne
maiñ dhuup meñ kyuuñ kisī kā ehsānmand hotā
ḳhud apne saa.e ko kar liyā sā.ebān maiñ ne
'jamāl' har shahr se hai pyārā vo shahr mujh ko
jahāñ se dekhā thā pahlī baar āsmān maiñ ne
sitare ka raaz rakh liya mehman main ne
ek ujle KHwab aur aankh ke darmiyan main ne
chaDha hai jab chand aasman par to bojh utra
suna di har sone wale ko dastan main ne
tamam tesha-ba-dast hairat mein gum hue hain
charagh se kaT di hawa ki chaTan main ne
main dhup mein kyun kisi ka ehsanmand hota
KHud apne sae ko kar liya saeban main ne
'jamal' har shahr se hai pyara wo shahr mujh ko
jahan se dekha tha pahli bar aasman main ne
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 32)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.