tamam rasta phulon bhara hai mere liye
tamam rasta phulon bhara hai mere liye
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
tamām rāsta phūloñ bharā hai mere liye
kahīñ to koī duā māñgtā hai mere liye
tamām shahr hai dushman to kyā hai mere liye
maiñ jāntā huuñ tirā dar khulā hai mere liye
mujhe bichhaḌne kā ġham to rahegā ham-safro
magar safar kā taqāzā judā hai mere liye
vo ek aks ki pal bhar nazar meñ Thahrā thā
tamām umr kā ab silsila hai mere liye
ajiib darguzarī kā shikār huuñ ab tak
koī karam hai na koī sazā hai mere liye
guzar sakūñgā na is ḳhvāb ḳhvāb bastī se
yahāñ kī miTTī bhī zanjīr-e-pā hai mere liye
ab aap jā.ūñ to jā kar use sameTūñ maiñ
tamām silsila bikhrā paḌā hai mere liye
ye husn-e-ḳhatm-e-safar ye tilism-ḳhāna-e-rañg
ki aañkh jhapkūñ to manzar nayā hai mere liye
ye kaise koh ke andar maiñ dafn thā 'bānī'
vo abr ban ke barastā rahā hai mere liye
tamam rasta phulon bhara hai mere liye
kahin to koi dua mangta hai mere liye
tamam shahr hai dushman to kya hai mere liye
main jaanta hun tera dar khula hai mere liye
mujhe bichhaDne ka gham to rahega ham-safro
magar safar ka taqaza juda hai mere liye
wo ek aks ki pal bhar nazar mein Thahra tha
tamam umr ka ab silsila hai mere liye
ajib darguzari ka shikar hun ab tak
koi karam hai na koi saza hai mere liye
guzar sakunga na is KHwab KHwab basti se
yahan ki miTTi bhi zanjir-e-pa hai mere liye
ab aap jaun to ja kar use sameTun main
tamam silsila bikhra paDa hai mere liye
ye husn-e-KHatm-e-safar ye tilism-KHana-e-rang
ki aankh jhapkun to manzar naya hai mere liye
ye kaise koh ke andar main dafn tha 'bani'
wo abr ban ke barasta raha hai mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.