wo mere baalon mein yun ungliyan phiraata tha
vo mere bāloñ meñ yuuñ uñgliyāñ phirātā thā
ki āsmāñ ke farishtoñ ko pyaar aatā thā
use gulāb kī pattī ne qatl kar Daalā
vo sab kī rāhoñ meñ kāñTe bahut bichhātā thā
tumhāre saath nigāhoñ kā kārobār gayā
tumhāre ba.ad nigāhoñ meñ kaun aatā thā
safar ke saath safar ke na.e masā.il the
gharoñ kā zikr to raste meñ chhūT jaatā thā
wo mere baalon mein yun ungliyan phiraata tha
ki aasman ke farishton ko pyar aata tha
use gulab ki patti ne qatl kar Dala
wo sab ki rahon mein kanTe bahut bichhata tha
tumhaare sath nigahon ka karobar gaya
tumhaare baad nigahon mein kaun aata tha
safar ke sath safar ke nae masail the
gharon ka zikr to raste mein chhuT jata tha
- Book : Mera Kiya (Pg. 140)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.