aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paida ho
aag ho dil meñ to āñkhoñ meñ dhanak paidā ho
ruuh meñ raushnī lahje meñ chamak paidā ho
ek shola merī āvāz meñ lahrātā hai
ḳhuun meñ lahr ḳhayāloñ meñ lalak paidā ho
qatl karne kā irāda hai magar sochtā huuñ
tū agar aa.e to hāthoñ meñ jhijak paidā ho
is tarah apnī hī sachchā.ī par isrār na kar
ye na ho aur tirī baat meñ shak paidā ho
mujh se bahte hue aañsū nahīñ likkhe jaate
kaash ik din mere lafzoñ meñ lachak paidā ho
aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paida ho
ruh mein raushni lahje mein chamak paida ho
ek shola meri aawaz mein lahraata hai
KHun mein lahr KHayalon mein lalak paida ho
qatl karne ka irada hai magar sochta hun
tu agar aae to hathon mein jhijak paida ho
is tarah apni hi sachchai par israr na kar
ye na ho aur teri baat mein shak paida ho
mujh se bahte hue aansu nahin likkhe jate
kash ek din mere lafzon mein lachak paida ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.