aaj maqtal mein KHabar hai ki charaghan hoga
aaj maqtal meñ ḳhabar hai ki charāġhāñ hogā
gar ye sach hai to mire qatl kā sāmāñ hogā
aaj kheleñge mire ḳhuun se holī sab log
kitnā rañgīn har ik shaḳhs kā dāmāñ hogā
aaj vo phuul chaḌhā.eñge mirī turbat par
rashk-e-gulzār-e-jināñ marqad-e-vīrāñ hogā
aaj mā.il-ba-tajallī hai jo lailā-e-harīm
qais be-chāra kahīñ sarf-e-bayābāñ hogā
aaj gar bazm-e-suḳhan hai to chalo ham bhī chaleñ
sunñe meñ aayā hai 'betāb' ġhazal-ḳhvāñ hogā
aaj maqtal mein KHabar hai ki charaghan hoga
gar ye sach hai to mere qatl ka saman hoga
aaj khelenge mere KHun se holi sab log
kitna rangin har ek shaKHs ka daman hoga
aaj wo phul chaDhaenge meri turbat par
rashk-e-gulzar-e-jinan marqad-e-viran hoga
aaj mail-ba-tajalli hai jo laila-e-harim
qais be-chaara kahin sarf-e-bayaban hoga
aaj gar bazm-e-suKHan hai to chalo hum bhi chalen
sunne mein aaya hai 'betab' ghazal-KHwan hoga
- Book : Shora-e-London (Pg. 54)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.