Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab ki holi mein raha be-kar rang

Imam Bakhsh Nasikh

ab ki holi mein raha be-kar rang

Imam Bakhsh Nasikh

MORE BYImam Bakhsh Nasikh

    ab holī meñ rahā be-kār rang

    aur laayā firāq-e-yār rang

    surḳh-rū kar de sharāb aa.ī bahār

    hai ḳhizāñ se zard ai ḳhummār rang

    hoñT uude sabz ḳhat āñkheñ siyāh

    chehre surḳh-o-safed ai yaar rang

    ham ko saare gulshan-e-āfāq meñ

    bas pasand aa.e yahī do-chār rang

    ġhair se khelī hai holī yaar ne

    Daale mujh par dīda-e-ḳhūñ-bār rang

    kis holī jashn-e-nau-rozī hai aaj

    surḳh mai se sāqiyā dastār rang

    hijr-e-jānāñ meñ Thahartā nahīñ

    kyā mere muñh se hai bezār rang

    kyā hai girgiT āsmāñ ke sāmne

    badle ik ik dam meñ sau sau baar rang

    aatī hai o qais lailā dasht meñ

    ḳhūn-e-pā se jild ab pur-ḳhār rang

    dhuup hai par mere roz-e-hijr

    hai ba-rañg-e-sāya-e-dīvār rang

    ho gayā kyuuñ zard 'nāsiḳh' kyā kahūñ

    hai zamāne ajab ai yaar rang

    ab ki holi mein raha be-kar rang

    aur hi laya firaq-e-yar rang

    surKH-ru kar de sharab aai bahaar

    hai KHizan se zard ai KHummar rang

    honT ude sabz KHat aankhen siyah

    chehre ka surKH-o-safed ai yar rang

    hum ko sare gulshan-e-afaq mein

    bas pasand aae yahi do-chaar rang

    ghair se kheli hai holi yar ne

    Dale mujh par dida-e-KHun-bar rang

    kis ki holi jashn-e-nau-rozi hai aaj

    surKH mai se saqiya dastar rang

    hijr-e-jaanan mein Thaharta hi nahin

    kya hi mere munh se hai bezar rang

    kya hai girgiT aasman ke samne

    badle ek ek dam mein sau sau bar rang

    aati hai o qais laila dasht mein

    KHun-e-pa se jild ab pur-KHar rang

    dhup hai par mere roz-e-hijr ka

    hai ba-rang-e-saya-e-diwar rang

    ho gaya kyun zard 'nasiKH' kya kahun

    hai zamane ka ajab ai yar rang

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now