ai sanam wasl ki tadbiron se kya hota hai
ai sanam vasl kī tadbīroñ se kyā hotā hai
vahī hotā hai jo manzūr-e-ḳhudā hotā hai
nahīñ bachtā nahīñ bachtā nahīñ bachtā āshiq
pūchhte kyā ho shab-e-hijr meñ kyā hotā hai
be-asar naale nahīñ aap kā Dar hai mujh ko
abhī kah dījiye phir dekhiye kyā hotā hai
kyuuñ na tashbīh use zulf se deñ āshiq-e-zār
vāqa.ī tūl-e-shab-e-hijr balā hotā hai
yuuñ takabbur na karo ham bhī haiñ bande us ke
sajde but karte haiñ haamī jo ḳhudā hotā hai
'barq' uftāda vo huuñ saltanat-e-ālam meñ
tāj-e-sar ijz se naqsh-e-kaf-e-pā hotā hai
ai sanam wasl ki tadbiron se kya hota hai
wahi hota hai jo manzur-e-KHuda hota hai
nahin bachta nahin bachta nahin bachta aashiq
puchhte kya ho shab-e-hijr mein kya hota hai
be-asar nale nahin aap ka Dar hai mujh ko
abhi kah dijiye phir dekhiye kya hota hai
kyun na tashbih use zulf se den aashiq-e-zar
waqai tul-e-shab-e-hijr bala hota hai
yun takabbur na karo hum bhi hain bande us ke
sajde but karte hain hami jo KHuda hota hai
'barq' uftada wo hun saltanat-e-alam mein
taj-e-sar ijz se naqsh-e-kaf-e-pa hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.