ajab din the ki in aankhon mein koi KHwab rahta tha
ajab din the ki in āñkhoñ meñ koī ḳhvāb rahtā thā
kabhī hāsil hameñ ḳhas-ḳhāna o barfāb rahtā thā
ubharnā Dūbnā ab kashtiyoñ kā ham kahāñ dekheñ
vo dariyā kyā huā jis meñ sadā girdāb rahtā thā
vo sūraj so gayā hai barf-zāroñ meñ kahīñ jā kar
dhaḌaktā raat din jis se dil-e-betāb rahtā thā
jise paḌhte to yaad aatā thā terā phuul sā chehra
hamārī sab kitāboñ meñ ik aisā baab rahtā thā
suhāne mausamoñ meñ us kī tuġhyānī qayāmat thī
jo dariyā garmiyoñ kī dhuup meñ pāyāb rahtā thā
ajab din the ki in aankhon mein koi KHwab rahta tha
kabhi hasil hamein KHas-KHana o barfab rahta tha
ubharna Dubna ab kashtiyon ka hum kahan dekhen
wo dariya kya hua jis mein sada girdab rahta tha
wo suraj so gaya hai barf-zaron mein kahin ja kar
dhaDakta raat din jis se dil-e-betab rahta tha
jise paDhte to yaad aata tha tera phul sa chehra
hamari sab kitabon mein ek aisa bab rahta tha
suhane mausamon mein us ki tughyani qayamat thi
jo dariya garmiyon ki dhup mein payab rahta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.