baDi mushkil se chhupaya hai koi dekh na le
baḌī mushkil se chhupāyā hai koī dekh na le
aañkh meñ ashk jo aayā hai koī dekh na le
ye jo mahfil meñ mire naam se maujūd huuñ maiñ
maiñ nahīñ huuñ mirā dhokā hai koī dekh na le
saat pardoñ meñ chhupā kar use rakkhā hai magar
dil ko ab bhī yahī dhaḌkā hai koī dekh na le
Dar rahā huuñ ki sar-e-shām tirī āñkhoñ meñ
maiñ ne jo vaqt guzārā hai koī dekh na le
haath narmī se chhuḌātī huī ḳhalvat ne kahā
ye jo ḳhalvat hai tamāshā hai koī dekh na le
terā merā koī rishta to nahīñ hai lekin
maiñ ne jo ḳhvāb meñ dekhā hai koī dekh na le
saath chalnā hai to ġhairoñ kī tarah saath na chal
shahr kā shahr shanāsā hai koī dekh na le
baDi mushkil se chhupaya hai koi dekh na le
aankh mein ashk jo aaya hai koi dekh na le
ye jo mahfil mein mere nam se maujud hun main
main nahin hun mera dhoka hai koi dekh na le
sat pardon mein chhupa kar use rakkha hai magar
dil ko ab bhi yahi dhaDka hai koi dekh na le
Dar raha hun ki sar-e-sham teri aankhon mein
main ne jo waqt guzara hai koi dekh na le
hath narmi se chhuDati hui KHalwat ne kaha
ye jo KHalwat hai tamasha hai koi dekh na le
tera mera koi rishta to nahin hai lekin
main ne jo KHwab mein dekha hai koi dekh na le
sath chalna hai to ghairon ki tarah sath na chal
shahr ka shahr shanasa hai koi dekh na le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.