bahut din se tumhein dekha nahin tha
bahut din se tumheñ dekhā nahīñ thā
badan itnā kabhī suunā nahīñ thā
vo kaisī shab thī jo kaalī nahīñ thī
vo kaisā din thā jo ujlā nahīñ thā
ye vīrāna na thā vīrān itnā
ye sahrā is qadar sahrā nahīñ thā
vo sab kuchh sochnā ab paḌ rahā hai
tire baare meñ jo sochā nahīñ thā
kisī ik zaḳhm ke lab khul ga.e the
maiñ itnī zor se chīḳhā nahīñ thā
mujhe tum se koī shikva nahīñ hai
bahut din ho ga.e royā nahīñ thā
ka.ī atrāf khulte jā rahe haiñ
vo dushman thā magar itnā nahīñ thā
bahut din se tumhein dekha nahin tha
badan itna kabhi suna nahin tha
wo kaisi shab thi jo kali nahin thi
wo kaisa din tha jo ujla nahin tha
ye virana na tha viran itna
ye sahra is qadar sahra nahin tha
wo sab kuchh sochna ab paD raha hai
tere bare mein jo socha nahin tha
kisi ek zaKHm ke lab khul gae the
main itni zor se chiKHa nahin tha
mujhe tum se koi shikwa nahin hai
bahut din ho gae roya nahin tha
kai atraf khulte ja rahe hain
wo dushman tha magar itna nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.