bayan jab kalim apni haalat kare hai
bayāñ jab 'kalīm' apnī hālat kare hai
ġhazal kyā paḌhe hai qayāmat kare hai
bhalā aadmī thā pa nādān niklā
sunā hai kisī se mohabbat kare hai
kabhī shā.irī is ko karnī na aatī
usī bevafā kī badaulat kare hai
chhurī par chhurī khaa.e jaa.e hai kab se
aur ab tak jiye hai karāmat kare hai
kare hai adāvat bhī vo is adā se
lage hai ki jaise mohabbat kare hai
ye fitne jo har ik taraf uTh rahe haiñ
vahī baiThā baiThā sharārat kare hai
qabā ek din chaak us kī bhī hogī
junūñ kab kisī kī ri.āyat kare hai
bayan jab 'kalim' apni haalat kare hai
ghazal kya paDhe hai qayamat kare hai
bhala aadmi tha pa nadan nikla
suna hai kisi se mohabbat kare hai
kabhi shairi is ko karni na aati
usi bewafa ki badaulat kare hai
chhuri par chhuri khae jae hai kab se
aur ab tak jiye hai karamat kare hai
kare hai adawat bhi wo is ada se
lage hai ki jaise mohabbat kare hai
ye fitne jo har ek taraf uTh rahe hain
wahi baiTha baiTha shararat kare hai
qaba ek din chaak us ki bhi hogi
junun kab kisi ki riayat kare hai
- Book : vo jo shairi ka sabab hua (Pg. 395)
- Author : Kaliim aajiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.