be-kaif dil hai aur jiye ja raha hun main
be-kaif dil hai aur jiye jā rahā huuñ maiñ
ḳhālī hai shīsha aur piye jā rahā huuñ maiñ
paiham jo aah aah kiye jā rahā huuñ maiñ
daulat hai ġham zakāt diye jā rahā huuñ maiñ
majbūri-e-kamāl-e-mohabbat to dekhnā
jiinā nahīñ qubūl jiye jā rahā huuñ maiñ
vo dil kahāñ hai ab ki jise pyaar kījiye
majbūriyāñ haiñ saath diye jā rahā huuñ maiñ
ruḳhsat huī shabāb ke hamrāh zindagī
kahne kī baat hai ki jiye jā rahā huuñ maiñ
pahle sharāb ziist thī ab ziist hai sharāb
koī pilā rahā hai piye jā rahā huuñ maiñ
be-kaif dil hai aur jiye ja raha hun main
KHali hai shisha aur piye ja raha hun main
paiham jo aah aah kiye ja raha hun main
daulat hai gham zakat diye ja raha hun main
majburi-e-kamal-e-mohabbat to dekhna
jina nahin qubul jiye ja raha hun main
wo dil kahan hai ab ki jise pyar kijiye
majburiyan hain sath diye ja raha hun main
ruKHsat hui shabab ke hamrah zindagi
kahne ki baat hai ki jiye ja raha hun main
pahle sharab zist thi ab zist hai sharab
koi pila raha hai piye ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.