Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-taqati ne dil ki giraftar kar diya

Meer Taqi Meer

be-taqati ne dil ki giraftar kar diya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    be-tāqatī ne dil giraftār kar diyā

    andoh-o-dard-e-ishq ne bīmār kar diyā

    darvāze par khaḌā huuñ ka.ī din se yaar ke

    hairat ne husn mujhe dīvār kar diyā

    saa.e ko us ke dekh ke vahshat balā huī

    dīvāna mujh ko jaise parī-dār kar diyā

    nisbat huī gunāhoñ az-bas mirī taraf

    be-jurm un ne mujh ko gunahgār kar diyā

    din-rāt us ko DhūñDe hai dil shauq ne mujhe

    nāyāb kis guhar talabgār kar diyā

    duur us se zaar zaar jo rotā rahā huuñ maiñ

    logoñ ko merī zaarī ne be-zār kar diyā

    ḳhūbī se baḳht-e-bad use ishq se mire

    yāroñ ne rafta-rafta ḳhabar-dār kar diyā

    jis ke lagā.ī meñ na us ke havas rahī

    ya.anī ki ek vaar meñ paar kar diyā

    pahlū meñ dil ne lauT ke ātish se shauq

    pāyān-e-kār āñkhoñ ko ḳhūñ-bār kar diyā

    kyā jānūñ ishq jaan se kyā chāhtā hai 'mīr'

    ḳhūñ-rezī mujhe to sazā-vār kar diyā

    be-taqati ne dil ki giraftar kar diya

    andoh-o-dard-e-ishq ne bimar kar diya

    darwaze par khaDa hun kai din se yar ke

    hairat ne husn ki mujhe diwar kar diya

    sae ko us ke dekh ke wahshat bala hui

    diwana mujh ko jaise pari-dar kar diya

    nisbat hui gunahon ki az-bas meri taraf

    be-jurm un ne mujh ko gunahgar kar diya

    din-raat us ko DhunDe hai dil shauq ne mujhe

    nayab kis guhar ka talabgar kar diya

    dur us se zar zar jo rota raha hun main

    logon ko meri zari ne be-zar kar diya

    KHubi se baKHt-e-bad ki use ishq se mere

    yaron ne rafta-rafta KHabar-dar kar diya

    jis ke lagai ji mein na us ke hawas rahi

    yani ki ek war hi mein par kar diya

    pahlu mein dil ne lauT ke aatish se shauq ki

    payan-e-kar aankhon ko KHun-bar kar diya

    kya jaanun ishq jaan se kya chahta hai 'mir'

    KHun-rezi ka mujhe to saza-war kar diya

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1786
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now