chaak-pairahani-e-gul ko saba jaanti hai
chāk-pairāhanī-e-gul ko sabā jāntī hai
mastī-e-shauq kahāñ band-e-qabā jāntī hai
ham to badnām-e-mohabbat the so rusvā Thahre
nāsehoñ ko bhī magar ḳhalq-e-ḳhudā jāntī hai
kaun tāqoñ pe rahā kaun sar-e-rāhguzar
shahr ke saare charāġhoñ ko havā jāntī hai
havas in.aam samajhtī hai karam ko tere
aur mohabbat hai ki ehsāñ ko sazā jāntī hai
chaak-pairahani-e-gul ko saba jaanti hai
masti-e-shauq kahan band-e-qaba jaanti hai
hum to badnam-e-mohabbat the so ruswa Thahre
nasehon ko bhi magar KHalq-e-KHuda jaanti hai
kaun taqon pe raha kaun sar-e-rahguzar
shahr ke sare charaghon ko hawa jaanti hai
hawas inam samajhti hai karam ko tere
aur mohabbat hai ki ehsan ko saza jaanti hai
- Book : kulliyat-e-fraaz (Pg. 703)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Fareed Book Depot (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.