chand mashriq se nikalta nahin dekha maine
chāñd mashriq se nikaltā nahīñ dekhā maiñ ne
tujh ko dekhā hai to tujh sā nahīñ dekhā maiñ ne
hādisa jo bhī ho chup-chāp guzar jaatā hai
dil se achchhā koī rasta nahīñ dekhā maiñ ne
phir darīche se vo ḳhushbū nahīñ pahuñchī mujh tak
phir vo mausam kabhī dil kā nahīñ dekhā maiñ ne
mom kā chāñd hathelī pe liye phirtā huuñ
shahr meñ dhuup kā mela nahīñ dekhā maiñ ne
chaḌhte sūraj kī shuāoñ ne mujhe paalā hai
jo utar jaa.e vo dariyā nahīñ dekhā maiñ ne
phir mire paañv kī zanjīr hilā de koī
kab se is shahr kā rasta nahīñ dekhā maiñ ne
mujh ko paanī meñ utarne kī sazā detā hai
vo samajhtā hai ki dariyā nahīñ dekhā maiñ ne
'qais' kahte haiñ faqīroñ pe bahut bhauñktā hai
apne ham-sā.e kā kuttā nahīñ dekhā maiñ ne
chand mashriq se nikalta nahin dekha main ne
tujh ko dekha hai to tujh sa nahin dekha main ne
hadisa jo bhi ho chup-chap guzar jata hai
dil se achchha koi rasta nahin dekha main ne
phir dariche se wo KHushbu nahin pahunchi mujh tak
phir wo mausam kabhi dil ka nahin dekha main ne
mom ka chand hatheli pe liye phirta hun
shahr mein dhup ka mela nahin dekha main ne
chaDhte suraj ki shuaon ne mujhe pala hai
jo utar jae wo dariya nahin dekha main ne
phir mere panw ki zanjir hila de koi
kab se is shahr ka rasta nahin dekha main ne
mujh ko pani mein utarne ki saza deta hai
wo samajhta hai ki dariya nahin dekha main ne
'qais' kahte hain faqiron pe bahut bhaunkta hai
apne ham-sae ka kutta nahin dekha main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.