dard ke pile gulabon ki thakan baqi rahi
dard ke piile gulāboñ kī thakan baaqī rahī
jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kī thakan baaqī rahī
pāniyoñ kā jism sahlātī rahī purvā magar
TūTte bante habāboñ kī thakan baaqī rahī
diid kī āsūdgī meñ kaun kaise dekhtā
darmiyāñ kitne hijāboñ kī thakan baaqī rahī
falsafe saare kitāboñ meñ ulajh kar rah ga.e
dars-gāhoñ meñ nisāboñ kī thakan baaqī rahī
bārisheñ hotī raheñ 'nāsir' samundar kī taraf
regzāroñ meñ sarāboñ kī thakan baaqī rahī
dard ke pile gulabon ki thakan baqi rahi
jagti aankhon mein KHwabon ki thakan baqi rahi
paniyon ka jism sahlati rahi purwa magar
TuTte bante hababon ki thakan baqi rahi
did ki aasudgi mein kaun kaise dekhta
darmiyan kitne hijabon ki thakan baqi rahi
falsafe sare kitabon mein ulajh kar rah gae
dars-gahon mein nisabon ki thakan baqi rahi
barishen hoti rahen 'nasir' samundar ki taraf
regzaron mein sarabon ki thakan baqi rahi
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 192)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999)
- Edition : Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.