dhuan bana ke faza mein uDa diya mujhko
dhuāñ banā ke fazā meñ uḌā diyā mujh ko
maiñ jal rahā thā kisī ne bujhā diyā mujh ko
taraqqiyoñ kā fasāna sunā diyā mujh ko
abhī hañsā bhī na thā aur rulā diyā mujh ko
maiñ ek zarra bulandī ko chhūne niklā thā
havā ne tham ke zamīñ par girā diyā mujh ko
safed sañg kī chādar lapeT kar mujh par
fasīl-e-shahr pe kis ne sajā diyā mujh ko
khaḌā huuñ aaj bhī roTī ke chaar harf liye
savāl ye hai kitāboñ ne kyā diyā mujh ko
na jaane kaun sā jazba thā jis ne ḳhud hī 'nazīr'
mirī hī zaat kā dushman banā diyā mujh ko
dhuan bana ke faza mein uDa diya mujh ko
main jal raha tha kisi ne bujha diya mujh ko
taraqqiyon ka fasana suna diya mujh ko
abhi hansa bhi na tha aur rula diya mujh ko
main ek zarra bulandi ko chhune nikla tha
hawa ne tham ke zamin par gira diya mujh ko
safed sang ki chadar lapeT kar mujh par
fasil-e-shahr pe kis ne saja diya mujh ko
khaDa hun aaj bhi roTi ke chaar harf liye
sawal ye hai kitabon ne kya diya mujh ko
na jaane kaun sa jazba tha jis ne KHud hi 'nazir'
meri hi zat ka dushman bana diya mujh ko
- Book : Etemaad (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.