dil mein jo mohabbat ki raushni nahin hoti
dil meñ jo mohabbat kī raushnī nahīñ hotī
itnī ḳhūbsūrat ye zindagī nahīñ hotī
dost pe karam karnā aur hisāb bhī rakhnā
kārobār hotā hai dostī nahīñ hotī
ḳhud charāġh ban ke jal vaqt ke añdhere meñ
bhiik ke ujāloñ se raushnī nahīñ hotī
shā.erī hai sarmāyā ḳhush-nasīb logoñ kā
baañs kī har ik Tahnī bāñsurī nahīñ hotī
khel zindagī ke tum khelte raho yaaro
haar jiit koī bhī āḳhirī nahīñ hotī
dil mein jo mohabbat ki raushni nahin hoti
itni KHubsurat ye zindagi nahin hoti
dost pe karam karna aur hisab bhi rakhna
karobar hota hai dosti nahin hoti
KHud charagh ban ke jal waqt ke andhere mein
bhik ke ujalon se raushni nahin hoti
shaeri hai sarmaya KHush-nasib logon ka
bans ki har ek Tahni bansuri nahin hoti
khel zindagi ke tum khelte raho yaro
haar jit koi bhi aaKHiri nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.