dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
dil meñ na ho jur.at to mohabbat nahīñ miltī
ḳhairāt meñ itnī baḌī daulat nahīñ miltī
kuchh log yūñhī shahr meñ ham se bhī ḳhafā haiñ
har ek se apnī bhī tabī.at nahīñ miltī
dekhā hai jise maiñ ne koī aur thā shāyad
vo kaun thā jis se tirī sūrat nahīñ miltī
hañste hue chehroñ se hai bāzār kī zīnat
rone kī yahāñ vaise bhī fursat nahīñ miltī
niklā karo ye sham.a liye ghar se bhī bāhar
kamre meñ sajāne ko musībat nahīñ miltī
dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
KHairaat mein itni baDi daulat nahin milti
kuchh log yunhi shahr mein hum se bhi KHafa hain
har ek se apni bhi tabiat nahin milti
dekha hai jise main ne koi aur tha shayad
wo kaun tha jis se teri surat nahin milti
hanste hue chehron se hai bazar ki zinat
rone ki yahan waise bhi fursat nahin milti
nikla karo ye shama liye ghar se bhi bahar
kamre mein sajaane ko musibat nahin milti
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 366)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.