dukh ka ehsas na mara jae
dukh kā ehsās na maarā jaa.e
aaj jī khol ke haarā jaa.e
in makānoñ meñ koī bhuut bhī hai
raat ke vaqt pukārā jaa.e
sochne baiTheñ to is duniyā meñ
ek lamha na guzārā jaa.e
DhūñDtā huuñ maiñ zamīñ achchhī sī
ye badan jis meñ utārā jaa.e
saath chaltā huā saaya apnā
ek patthar use maarā jaa.e
ham yagāna to nahīñ haiñ 'alvī'
naav jaa.e ki kinārā jaa.e
dukh ka ehsas na mara jae
aaj ji khol ke haara jae
in makanon mein koi bhut bhi hai
raat ke waqt pukara jae
sochne baiThen to is duniya mein
ek lamha na guzara jae
DhunDta hun main zamin achchhi si
ye badan jis mein utara jae
sath chalta hua saya apna
ek patthar use mara jae
hum yagana to nahin hain 'alwi'
naw jae ki kinara jae
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 59)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.