duniya jise kahte hain jadu ka khilauna hai
duniyā jise kahte haiñ jaadū kā khilaunā hai
mil jaa.e to miTTī hai kho jaa.e to sonā hai
achchhā sā koī mausam tanhā sā koī aalam
har vaqt kā ronā to be-kār kā ronā hai
barsāt kā bādal to dīvāna hai kyā jaane
kis raah se bachnā hai kis chhat ko bhigonā hai
ye vaqt jo terā hai ye vaqt jo merā hai
har gaam pe pahrā hai phir bhī ise khonā hai
ġham ho ki ḳhushī donoñ kuchh duur ke sāthī haiñ
phir rasta hī rasta hai hañsnā hai na ronā hai
āvāra-mizājī ne phailā diyā āñgan ko
ākāsh kī chādar hai dhartī kā bichhaunā hai
duniya jise kahte hain jadu ka khilauna hai
mil jae to miTTi hai kho jae to sona hai
achchha sa koi mausam tanha sa koi aalam
har waqt ka rona to be-kar ka rona hai
barsat ka baadal to diwana hai kya jaane
kis rah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai
ye waqt jo tera hai ye waqt jo mera hai
har gam pe pahra hai phir bhi ise khona hai
gham ho ki KHushi donon kuchh dur ke sathi hain
phir rasta hi rasta hai hansna hai na rona hai
aawara-mizaji ne phaila diya aangan ko
aakash ki chadar hai dharti ka bichhauna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.