ek sukhi haDDiyon ka is taraf ambar tha
ek sūkhī haDDiyoñ kā is taraf ambār thā
aur udhar us kā lachīlā gosht ik dīvār thā
rail kī paTrī ne us ke TukḌe TukḌe kar diye
aap apnī zaat se us ko bahut inkār thā
log nañgā karne ke darpai the mujh ko aur maiñ
be-sar-o-sāmāniyoñ ke nashshe meñ sarshār thā
mujh meñ ḳhud merī adam-maujūdgī shāmil rahī
varna is māhaul meñ jiinā bahut dushvār thā
ek sukhi haDDiyon ka is taraf ambar tha
aur udhar us ka lachila gosht ek diwar tha
rail ki paTri ne us ke TukDe TukDe kar diye
aap apni zat se us ko bahut inkar tha
log nanga karne ke darpai the mujh ko aur main
be-sar-o-samaniyon ke nashshe mein sarshaar tha
mujh mein KHud meri adam-maujudgi shamil rahi
warna is mahaul mein jina bahut dushwar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.