gham-e-hayat kahani hai qissa-KHwan hun main
ġham-e-hayāt kahānī hai qissa-ḳhvāñ huuñ maiñ
dil-e-sitam-zada hai rāz-dāñ huuñ maiñ
ziyāda is se koī aaj tak batā na sakā
ki ek nukta-e-nā-qābil-e-bayāñ huuñ maiñ
nazar ke sāmne kaundī thī ek bijlī sī
mujhe batāo ḳhudā-rā ki ab kahāñ huuñ maiñ
ḳhizāñ ne luuT liyā gulshan-e-shabāb magar
kisī bahār ke armān meñ javāñ huuñ maiñ
ye kah rahī hai nazar kī ġham-e-āfrīñ jumbish
kisī ke dil kī tabāhī kī dāstāñ huuñ maiñ
ḳhizāñ kahtī thī maiñ shoḳhi-e-bahārāñ huuñ
bahār kahtī hai rañgīni-e-ḳhizāñ huuñ maiñ
shabāb naam hai us jāñ-navāz lamhe kā
jab aadmī ko ye mahsūs ho javāñ huuñ maiñ
jahān-e-dard-o-alam pūjtā hai mujh ko aah
tapish-e-jabīñ hai lahū sajda āstāñ huuñ maiñ
vo din bhī the ki maiñ jān-e-shabāb thā 'aḳhtar'
ab apne ahd-e-javānī kī dāstāñ huuñ maiñ
gham-e-hayat kahani hai qissa-KHwan hun main
dil-e-sitam-zada hai raaz-dan hun main
ziyaada is se koi aaj tak bata na saka
ki ek nukta-e-na-qabil-e-bayan hun main
nazar ke samne kaundi thi ek bijli si
mujhe batao KHuda-ra ki ab kahan hun main
KHizan ne luT liya gulshan-e-shabab magar
kisi bahaar ke arman mein jawan hun main
ye kah rahi hai nazar ki gham-e-afrin jumbish
kisi ke dil ki tabahi ki dastan hun main
KHizan kahti thi main shoKHi-e-bahaaran hun
bahaar kahti hai rangini-e-KHizan hun main
shabab nam hai us jaan-nawaz lamhe ka
jab aadmi ko ye mahsus ho jawan hun main
jahan-e-dard-o-alam pujta hai mujh ko aah
tapish-e-jabin hai lahu sajda aastan hun main
wo din bhi the ki main jaan-e-shabab tha 'aKHtar'
ab apne ahd-e-jawani ki dastan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.