Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guman KHak mein sab ke milane wala hai

Khurshid Rabbani

guman KHak mein sab ke milane wala hai

Khurshid Rabbani

MORE BYKhurshid Rabbani

    gumān ḳhaak meñ sab ke milāne vaalā hai

    koī charāg havā.eñ bujhāne vaalā hai

    ufuq ufuq pe mahaktī huī shafaq se khulā

    koī sitāra kahīñ jagmagāne vaalā hai

    na jaane kaun pas-e-chashm hai junūñ-pesha

    jo āñsuoñ ke ḳhazāne luTāne vaalā hai

    ye kaun aag lagāne pe hai yahāñ māmūr

    ye kaun shahr ko maqtal banāne vaalā hai

    guman KHak mein sab ke milane wala hai

    koi charag hawaen bujhane wala hai

    ufuq ufuq pe mahakti hui shafaq se khula

    koi sitara kahin jagmagane wala hai

    na jaane kaun pas-e-chashm hai junun-pesha

    jo aansuon ke KHazane luTane wala hai

    ye kaun aag lagane pe hai yahan mamur

    ye kaun shahr ko maqtal banane wala hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now