hum paDh rahe the KHwab ke purzon ko joD ke
ham paḌh rahe the ḳhvāb ke purzoñ ko joḌ ke
āñdhī ne ye tilism bhī rakh Daalā toḌ ke
āġhāz kyuuñ kiyā thā safar in ḳhalāoñ kā
pachhtā rahe ho sabz zamīnoñ ko chhoḌ ke
ik buuñd zahr ke liye phailā rahe ho haath
dekho kabhī ḳhud apne badan ko nichoḌ ke
kuchh bhī nahīñ jo ḳhvāb kī sūrat dikhā.ī de
koī nahīñ jo ham ko jagā.e jhiñjhoḌ ke
in pāniyoñ se koī salāmat nahīñ gayā
hai vaqt ab bhī kashtiyāñ le jaao moḌ ke
hum paDh rahe the KHwab ke purzon ko joD ke
aandhi ne ye tilism bhi rakh Dala toD ke
aaghaz kyun kiya tha safar in KHalaon ka
pachhta rahe ho sabz zaminon ko chhoD ke
ek bund zahr ke liye phaila rahe ho hath
dekho kabhi KHud apne badan ko nichoD ke
kuchh bhi nahin jo KHwab ki surat dikhai de
koi nahin jo hum ko jagae jhinjhoD ke
in paniyon se koi salamat nahin gaya
hai waqt ab bhi kashtiyan le jao moD ke
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 286)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.