har ek rup hai us ka paheliyon ki tarah
har ek ruup hai us kā paheliyoñ kī tarah
khule na mujh pe vo ujḌī haveliyoñ kī tarah
ye rañg rañg parinde hī ham se achchhe haiñ
jo ik daraḳht pe rahte haiñ beliyoñ kī tarah
sunahrī dhuup meñ baiThī hoñ mil ke jab chiḌiyāñ
to chahchahātī haiñ alhaḌ saheliyoñ kī tarah
uThā ke haath duā.eñ na maañg bārish kī
falak bhī ḳhushk hai terī hatheliyoñ kī tarah
ujaḌ gayā hai magar raas rut badalne se
kabhī mahaktā thā 'ḳhāvar' chambeliyoñ kī tarah
har ek rup hai us ka paheliyon ki tarah
khule na mujh pe wo ujDi haweliyon ki tarah
ye rang rang parinde hi hum se achchhe hain
jo ek daraKHt pe rahte hain beliyon ki tarah
sunahri dhup mein baiThi hon mil ke jab chiDiyan
to chahchahati hain alhaD saheliyon ki tarah
uTha ke hath duaen na mang barish ki
falak bhi KHushk hai teri hatheliyon ki tarah
ujaD gaya hai magar ras rut badalne se
kabhi mahakta tha 'KHawar' chambeliyon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.