har qadam sail-e-hawadis se bachaya hai mujhe
har qadam sail-e-havādis se bachāyā hai mujhe
kabhī dil meñ kabhī āñkhoñ meñ chhupāyā hai mujhe
aur sab log to mai-ḳhāne se ghar lauT ga.e
mehrbāñ raat ne siine se lagāyā hai mujhe
har hasīñ anjuman-e-shab mujhe dohrātī hai
jaane kis mutrib-e-āshufta ne gaayā hai mujhe
sañg-sāzoñ ne tarāshā hai mire paikar ko
tum ne kyā soch ke patthar pe girāyā hai mujhe
aane vāloñ meñ koī apnā shanāsā hotā
sūrat-e-farsh-e-dil-o-dīda bichhāyā hai mujhe
kachchī dīvāroñ ko paanī kī lahar kaaT ga.ī
pahlī bārish hī ne barsāt kī Dhāyā hai mujhe
maiñ jiyā ishq kī ik zinda alāmat ban kar
dāstāñ-goyoñ ne rātoñ ko sunāyā hai mujhe
har qadam sail-e-hawadis se bachaya hai mujhe
kabhi dil mein kabhi aankhon mein chhupaya hai mujhe
aur sab log to mai-KHane se ghar lauT gae
mehrban raat ne sine se lagaya hai mujhe
har hasin anjuman-e-shab mujhe dohraati hai
jaane kis mutrib-e-ashufta ne gaya hai mujhe
sang-sazon ne tarasha hai mere paikar ko
tum ne kya soch ke patthar pe giraya hai mujhe
aane walon mein koi apna shanasa hota
surat-e-farsh-e-dil-o-dida bichhaya hai mujhe
kachchi diwaron ko pani ki lahar kaT gai
pahli barish hi ne barsat ki Dhaya hai mujhe
main jiya ishq ki ek zinda alamat ban kar
dastan-goyon ne raaton ko sunaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.